Thursday 2 April 2015

WAFAT OF J.UMMUL BANIN (S.A) AUR UNKI LIFE HISTORY


13th Mahe Jamadi-ul-Aakher Wafat Janabe Ummul Baneen (s.a.) (Mother of H. Abbas (a.s.)  ke mauke par sab se pehle Imam-e-Zamana ki khidmat mein taaziyat pesh karte hai baad mein aap sab ki khidmat me.

Naam: Fatema Kalabiyam
Laqab: Ummul Baneen.
Walid : Hozam bin khalid bin rabia kalabiya
Waleda : Samama binte sahl bin aamir bin malik .
Tareekh Wiladat : 5 hijri
Tareekh Wafat : 13 Jamadi-ul-Aakher 64 ya 70 hijri
Birth of place : In Kufa
Bured : Jannat ul baqi
ke 4 bete the :
Abbas, Jafar, Abdullah, Usman.
Aap ka talluq qabeela bani kelab se tha.

Hazarat Fatemah Zahra (s.a.) ki Shahadat k 13 ya 14 sal ke baad Amirul Momineen Hazrat Ali ibne Abi talib (a.s)  ne apne bhai Janabe aqeel se farmaya kisi bahadur khandan talash karo jis qabeele ki khatun se shadi karum aur Us biwi se koi bahadur beta paida ho to janab aqeel ne qabeela banikelab ka naam liya hazrat ne apni rezayat zaahir ki is tarah se 23 ya 24 hijri me shadi hui.

Aap ka kirdar Khanaye saiyeda me qadam rakha to us deurhi par apni peshani rakhi aur J.Fatematuz zahra ke bacho ko dekh kar farmaya : bachcho me maa bankar nahi aayi hun balke tumhari kaneez hun. Yahi tarbiyat beto ko di k jis k sabab maula abbas a.s ne apne ko imam husain a.s. ka gulam kaha.

(Written by :- Maulana Vazir Hasan Sb )

JAFFERY NEWS 📃
➡ Like and share
www.facebook.com/jafferynews

No comments:

Post a Comment