Wednesday, 24 June 2015

AFGHANISTAN ME 7000 SE ZYADA FOREIGN AATANKI ACTIVE.




United Nations Organization Ke Head Ka Kehna Hai Ki Iss Desh Me 7000 Se Zyada Foreign Aatanki Maujood Hai. Zahir Tanin Ne Afghanistan Ki Safety Conditions Ke Baare Me United Nations Organization Ki Safety Council Ki Meeting Me Kaha Ki Iss Waqt Afghanistan Me Chechinya, Uzbekistan, Tajikistan Aur Pakistan Ke 7000 Se Zyada Foreign Aatanki Maujood Hai. Unhone Afghanistan Me Taliban Aur ISIL Jaise Aatanki Group Aur Foreign Aatankiyo Ke Bich Pehle Se Kahi Zyada Saath Gaath Ko Mention Karte Hue Kaha Ki Hamare Andaaz Ke Mutabiq Iss Waqt Afghanistan Me ISIL Ke Liye Ladhnewalo Ki Tadat Saikdo ya Hazaro Me Hogi Jinme Taliban Bhi Hai. United Nations Organization Me Afghanistan Ke Head Zahir Tanin Ne Kaha Ki Ye Aatanki, Bomb Blast Aur Kidnapping Karte Hai. Isi Tarike Se Ye Aatanki Afghanistan Aur South Aur Central Asia Ke Region Me Bohot Se Ilaako Par Kabza Karke Un Ilaako Ko Apni Harkato Ka Central Banana Chahte Hai. Zahir Tanin Ne Kaha Ki Afghanistan, Neighboring Countries Se Enter Hone Wale Aatankiyo Se Jung Kar Raha Hai Aur Lagta Hai Ki Ye Aatanki, Inhi Neighboring Countries Se Hai. For Reference http://hindi.irib.ir/समाचार/item/75820  
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment