Saudi Arab Ki Aale Saudi Government Ne Ek Aur Shia Religious Leader Ko Sirf Isliye Giraftar Kar Liya Kyuki Unhone Iran Ka Visit Kiya Tha.
Bahrain Ki News Agency Al-Yom Ki Report Ke Mutabik “Aman” Famous Human Rights Organization Ne Friday Ke Din Announcement Ki Hai Ki Saudi Regime Ke Security Officials Ne Is Desh Ke Famous Shia Religious Leader Sheikh Muhammad Abdul Hadi Al-Haider Ko, Jinhone Kabhi Kisi Bhi Tarha Ki Political Activities Me Hissa Nahi Liya, Giraftar Kar Liya Hai.
Sheikh Al-Haider Pichle 10 Saal Se Iran Me Reh Rahe The Aur Kabhi-Kabhi Apne Family Walo Se Milne Ke Liye Saudi Arab Ki Yatra Karte The.
Saudi Arab Ke Ye Shia Religious Leader, 4 Month Pehle Jab Iran Se Saudi Arab Gaye To Unhe Unke 17 Saal Ke Bete Ke Saath Giraftar Kar Liya Gaya Aur Al-Dammam Airport Ke Officials Ne Unka Mobile Phone Aur Laptop Bhi Zapt Kar Liya.
Sheikh Haider Ke Family Walo Ka Kehna Hai Ki Unki Health Thik Nahi Hai Aur Saudi Officials Jail Me Unke Liye Medicine Tak Pahunchane Ki Permission Nahi De Rahe Hai.
Mili Report Ke Mutabik Abhi Tak Shia Religious Leader Muhammad Abdul Hadi Al-Haider Ki Giraftari Ke Wajah Ka Pata Nahi Chala Hai, Aur Saudi Officials Ne Bhi Is Rishte Me Koi Clear Statement Nahi Diya Hai.
WE STRONGLY CONDEMNED AGAINST SAUDI GOVERNMENT ACTION:evil:
FREE SHEIKH MUHAMMAD ABDUL HADI Al-HAIDER
For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77986
No comments:
Post a Comment