Tuesday, 25 August 2015

BAHRAIN, GOVERNMENT NE 5 DIN BAAD DHARAMGURU KI GIRAFTARI KI BAAT ACCEPT KI.

Bahrain Ke Ale-Khalifa Shasan Ne Ek Dharamguru Ko Giraftar Karne Ke Lag-Bhg Ek Hafte Baad Unki Giraftari Ki Baat Accept Ki.

Miratul Bahrain Website Ke Mutabik, Ale-Khalifa Shasan Ki Aur Se Iss Desh Ke Revolutionary Organization “Fourteen February” Par Pressure Bhadane Ki Koshish Jaari Hai. Issi Karm Me Bahrain Ke Sabse Bade Opposition Party Alvefakh Ki Aur Se Iss Desh Ki Parliament Ke Former Representative Sheikh Hassan Isa Ko Giraftar Kiya Gaya Lekin Unki Giraftari Ki News Ko Ale-Khalifa Shasan Ne 5 Din Tak Chipayi Rakha.

Ale-Khalifa Shasan Ka Dawa Hai Ki Sheikh Hassan Isa Ko Aatankwadiyo Ki Financial Madad Karne Me Aarop Me 18 August Ko Iss Desh Ke International Air Ports Par Uss Waqt Giraftar Kiya Gaya Jab Wo Foreign Trip Se Laute The.

Isse Phehle Alvefakh Party Ne Bhi Sheikh Hassan Isa Ki Situation Clear Na Hone Par Chinta Jatate Hue Kaha Tha Ki Unki Giraftari Ki News Ko Sensor Kiye Jane Se Pata Chalta Hai Ki Iss Desh Me Political Aur Religious Figures Aur Political Activities Ko Nishana Banaya Jaa Raha Hai.

Iss Beech Ek Dusre Report Ke Mutabik, Bahrain Ke Interior Minister Rashid Bin Abdullah Ale-Khalifa Ne Ek Spech Me Kaha Ki Ale-Khalifa Government Ne Dharamguru Ki Azadi Ko Limit Karne Aur Logo Ke Saath Hard Stand Apnane Ka Faishla Kiya Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/78046

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment