Iraqi Army Ne Western Iraq Ke Anbar Province Ke Central Ramadi City Ki Aur Aage Badhte Hue Iss City Ko Puri Tarah Apne Ghere Me Me Liya Hai.
Sky News Ke Mutabiq, Iraq Ke Central police Group Ke Commander Jafar Saddam Ne Sunday Ko Kaha Ki Eastern Ramadi Me military Campaign Shuru Hai Aur Iraqi Army Ne Iss City Ke Eastern Part Ko Puri Tarah Apne Ghere Me Le Liya Hai Aur Wo Ramadi ke Saare Areas Par Campaign Ke Liye Order Ka Intezar kar Rahi Hai.
Jafar Saddam Ne Kaha Ki ISIL ke Aatanki Ramadi Jaane Wale Sabhi Rasto Par Aur Jin Thikaano Se Wo Piche Hat Rahi Hai, Waha Baarudi Surang Bicha Rahe Hai, Iske Bawajood Iraqi Army Aage Badhte Jaa Rahi Hai.
Iss Bich Iraq Ke Defence Ministry Ne Ek Bayaan Me Kaha Hai Ki Defense Minister Khalid Al Ubaidi Ne Anbar Ke Al Bujhsa Gaav Ko Aazad Karane Wale Soldiers Se Angrim Pankti Se Mulaqat Ki. Al Ubaidi Ne Iss Mulaqat Me ISIL Ke Against Campaign Jaari Rakhne Par Zor Diya Aur Kaha Ki Anbar Me Jald Hi kaamyabi Milegi.
Dusri Aur Ramadi Me Hasaiba Aur Tal Amsheed Me ISIL Ke 9 Aatanki Maare Gaye Aur Iraqi Soldiers Ne 3 Gharo Me Bichaaye Gaye Bombs Ko Dispose Kar Diya Hai.
For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77998
No comments:
Post a Comment