Thursday, 20 August 2015

PICHLE 145 DIN KE DAURAN SAUDI NE 400 BACHO KI HATYA KI.

SAUDI ATTACK ME YEMEN KE 400 BACHE HALAK HO GAYE.

UNICEF Ne Apni Taza Report Me Bataya Hai Ki 26 March 2015 Se Jari Saudi Arab Daura Yemen Par Hamlo Me Ab Tak Lag-Bhg 400 Bache Ki Jaan Jaa Chuki Hai.

UNICEF Ne Apni Taza Report Me Yemen Me Lagatar Bacho Ke Maare Jane Aur Zakhmi Hone Par Alert Jari Kiya Hai.

Iss Report Me Kaha Gaya Hai Ki Ek Hafte Phehle Tak 398 Bacho Ki Jaane Chali Gayi Aur 13 Lakh Bache Beghar Hogaye.

Human Rights Group Ne Iss Baat Par Chinta Jatayi Hai Ki Saudi Arab, Ladhyi Ke Law Ko Nahi Maan Rahe Hai. Human Rights Group Ke Mutabik Saudi Arab Ke Air Attack Me Ziyadatar Aam Log Target Ban Rahe Hai Jabki Unki Security Ke Liye Kuch Nahi Kiya Jaa Raha Hai.

Amnesty International Ne United Nation Se Alleged War Crimes Ki Investigation Ke Liye Ek Investigate Commission Organization Karne Ko Bulaya Hai.

Dhayan Rahe Ki Saudi Arab 26 March 2015 Se Hamesha Yemen Par Brutal Attack Kar Rahe Hai Jisme Hazaro Ki Tadat Me Aam Log Halak Hue Hai. Halak Hone Walo Me Ziyadatar Aurte Aur Bache Shamil Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77875

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment