Tuesday, 25 August 2015

SYRIA ME ISIL KA CHEMICAL WEAPON SE HAMLA.

Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ek baar Phir Syria Ke Residential Area Par Hamle Me Chemical Hathyaar Istemaal Kiya Hai.

News Agency Sanaa Ke Mutabiq, Syria Ke Maareaa Kasbe Par ISIL Ne Chemical Hathyaar Se Hamle Kiye.

Maareaa Kasbe Ke Kayi Citizens Ne Dum Ghutne Ki Shikayat Ki, Unka Kehna Hai Ki Saturday Ko Iss Kasbe Par ISIL Ki Taraf Se Aise Bomb Fire Kiye Jisme Zehrile Ingredients The.

Pata Rahe Isse Pehle Bhi Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ke Aatankiyo Ne Syria Aur Padosi Desh Iraq Me Apne Control Wale Ilaako Par Kai Baar Chemical Hathyaar Se Hamle Kiye Hai.

14 August Ko American Media Ne America Ke Secret Department Aur Army Ke Alag Alag officer’s Ke Hawale. Se Report Me Kaha Tha Ki ISIL Ke Aatankiyo Ne August Ke Shuru Me Syria Aur Eastnorth City Huska Par Attack Me Nuclear Weapons Istemal Kiye The, Sources ye Iss Baat Ka Ek Aur Sabut Hai Ki ISIL Ke Mustard Gas Hai Jise Woh Ladhai Me Istemal Karte Hai.

America Military Campaign Ke Chief Of Staff Brigadier General Kevin Killea Ne Aise Samay ISIL Ki Taraf Se Mustard Gas Ka Istemal Kiye Jaane Ki Information Di Thi, Jab Isse 3 din Pehle Northern Iraq Ke Makhmur Kasbe Me Kurd Fighter Ke Against ISIL Mustard Gas Se Hamle Kar Chuka Tha. Iss Hamle Me 15 Kurd Fighter Zakmi Hue The.

Report Ke Mutabiq, ISIL Ke Aatanki Aise Mortar Bomb Se Hamle Karte Hai Jisme Chemical Ho. Pata Rahe Mustard Gas se Skin Aur Lungs Ko Nuksaan Hota Hai.

ISIL Iraq Aur Syria Me Apne Control Wale Areas Me Sabhi Community Ke Khilaaf Aise Bure Gunaah Kar Rahe Hai. Jise Sunkar Insaaniyat Ka Sar Sharm Se Jhuk Jaaye.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77993

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment