United Nations Organization Ki Reporter Ko Myanmar Me Rohingya Musalmano Se Mulaqat Karne Se Rok Diya Gaya.
Myanmar Ki Government Ne United Nations Organization Ki Reporter Yeng Li Ko Rohingya Musalmano Se Mulaqat Karne Se Rok Diya Hai.
Myanmar Me Rohingya Musalman, Lambe Samay Se Buddhist Logo Ki Aur Se Zulm Jhel Rahe Hai. Yeng Like, Myanmar Me 8 Sept Ko Parliament Election hone Se Pehle Human Rights Ki Condition Ki Jaanch Karne Ke Liye Iss Desh Ke Daure Par Hai.
YengLi Ne Apne Daaura Start Se Ki Jaane Wali Rukawato Ki Aalochna Karte Hue Kaha Ki Myanmar Govt Ne Unhe Rakhin State Ke Daur Karne Ki Ijaazat Nahi Di Jaha Rohingya Musalmano Rehte Hai. United Nations Organization Ki Reporter Ne Myanmar Me Kaha,” Bohot Afsos Ki Baat Hai Ki Jin Logo Se Mulaqat Ka Wada Kiya Tha Use Pura Nahi Kiya Gaya Aur Bina Bataye Aakhri Time Me Program Badal Diya Gaya Unhone Kaha Ki Dukh Ki Baat Hai Ki Isi Wajah Se Me Apni Duty Par Amal Nahi Kar Paa Rahi Hu.”
Yeng Li Ne Bataya Ki Myanmar Me Musalmano Ko Election Me Hissa Lene Ki Ijaazat Nahi Di Gayi Hai. Unhone Kaha Ki Rakhin Me Musalmano Ke Sath Bhedbhav Ke Nazariye Iss Topic Ko Solve Kiya Jaaye. Yeng Li Ab Tak 3 Baar United Nations Organization Ke Reporter Ke Roop Me Myanmar Jaa Chuki Hai. Unhone January Me Apne Myanmar Ki Condition Ke Baare Me Jo Bayaan Diya Tha Uspar Myanmar Government Ne Kada Action Liya Tha. Myanmar Ki Government Ne Yeng Li Par Bhedbhav Karne Aur Myanmar Ki Sovereignty Ka Ullandhan Karne Ka Aarop Lagaya Hai.
Pata Rahe Myanmar Me Rohingya Musalman Iss Desh Ki total Population Ka 5 Percent Hai. Myanmar Ka Population 6 Crore Hai.
For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77472
No comments:
Post a Comment