Tuesday, 11 August 2015

ZAINABIA (BABER ALI) IMAMBARGAH WA DIGAR IMAMBARGAH HATANA SHARYATAN SAHI NAHI AAGAH MUSVI SB. KA BAYAAN.

ZAINABIA MUMBAI, INDIA KE REGARDING CLARIFICATION – JULY 25 2015

Ye Clarification Jo Shiyo Ke bich Iktelaaf Chalu Hai Zainabia ( Baber Ali ) Imambargah Ke Related Hai.

Ye Imambargah Mumbai Me Baber Ali Imambargah Ke Naam Se Jaana Jata Hai. Ye Imambargah Aaj Se 100 Saal Pehle Banata Jis Me Musafiro Ke Liye Room Bhi Tha. Ye Imambargah Me Majlise Aur Azadari Musalsal Hoti Rahi Hai.

Ye Imambargah Ek Iranian Family Ke Naam Par Registered Tha Jab Tak Ye Mr.Ali Namazi Ke Haath Nahi Gaya Tha Jo Ise 1980 Ki Starting me Bechna Chahte The.

Ye Imambargah Ko Bachane Ke Liye Imaan Foundation Ne Faisla Kiya Ye Imambargah Ko Mr.Ali Namazi Se Takeover Kar Liya Tha. Iss Aim Se 1983 Me Humne Ek Bada Amount Mr.Ali Namazi Ko Pay Kiya Gaya Tha Imambargah Bachane Ke Liye. Uske Baad Wo Imaan Foundation Ke Naam Pe Register Kiya Gaya Tha.

Imambargah Ki Building Bohot Purani Aur Khasta Haalat Me Thi Aur Kabhi Bhi Gir Sakti Thi. Jab Tak Uski Marammat Nahi Kiya Jata. Wo Bohot Logo Ki Jaan Lesakta Tha. Bohot Momineen Ki Jo Us Building Me Rehte The. But Hum Use Repair Nahi Kar Sake Kyuki Waha Pe Bohot Se Rooms Upar ke Floor Pe Hai Jo Rent Par Hai.

Humne Agreement Kiya Mr.Akhtar Rizvi Builder Se Ke Imambargah Ko Rebuilt Kare. Apne Kharch Par Jiske Ewaz Me Who Chahte The Ye Imambargah Unke Trust Ke Naam Par Transfer Kiya Jaye. (Zainabia Trust) Tho Wo Saara Karch Uthake Aur Is Imambargah Ko Bachanyege Aur Saat Hi Saat Wada Bhi Kiya Tha Ki Ye Agree Hua Tha Ki Jo Activities Hoti Aarahi Hai Wo sab Uske Rebuilt Hone Ke Baad Bhi Jaari Rahega.

Mr Rizvi Ne Imambargah Ko Rebuilt Kiya Aur Uska Naam Baber Ali Imambargah Se Zainabia Kiya.

Par Unhone Abhi Tak Aaj Tak Wo Amount Jo Imambargah Ko Bachane ke Liye Diya Gaya Tha Humko Adda Nahi Kiya.

Mera Naam Bhi Zainabia Trust Ke Trustees Ke Tur Per Daala Gaya, Par Pichle 25 Saalo Me Aaj Tak, Mujhe Na Tho Koi Meeting, Yaa Accounts, Yaa Koi Bhi Mudda Zainabia Trust (Baber Ali Imambargah). KE related Muje Nehi Bataya Gaya. Maine Aaj Tak Na Koi Document Aur Kisi Paper Par Sign Kiya Pichle 25 Saalo me.

Mujhe Kuch Saal Pehle Kuch Momineen Ne Bataya Ki Mr.Akhtar Rizvi Aur Kuch Bohras Ne Milker Imambargah Ki Shifting Dusre Location Pe Tabdil Karne Ka Tay Hua Hai. Par Mujhe Akhtar Rizvi Ne Kabhi Bhi Iss Baare Me Nahi Bataya Aur Na hi koi Maujse Is Silsile Me Salah Mashwara Liya. Lehaza Is Mudde Ke Saat Kahi Bhi Juda Hua Nahi Hu

Maine Moghul Masjid Aur Khoja Masjid Me Mimbar Se Kai Baar Zikr Kiya. Hai Ki Islam Me Imambargah ki jagah ko Tabdil nahi kiya jaa Sakta hai.

Jab Mujhe Iss Mudde Per Sawaal Kiya Gaya Ek Email Ke Zariye Tho Maine Upar Ke 10 muddo Ke Jawab Diye The.

Mujh Par Lazim Hai Ke Islamic Kanoon Ke Tahat Amal Karu. Jisme Kaha Jaata Hai Ke Ye Jayeez Nehi Hai Ke Imambargah Apni Jagah Se Hataya Jaaye. Ye Kanoon Marja-e-Taqleed Se Tasdik Kiya Gaya Hai

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment