Jayoni Regime Ki Jail Me Lambi Bhuk Hadtal Karne Wale Muhammed Al-khiki Finally: Israel Se Apni Jung Jeet Gaye Hai.
Al-alam Tv Ke Mutabik Palestini Journalist Muhammed Alkhiki Jinhe Jhayoni Regime Ki Jail Me Qaid Karke Rakha Gaya Tha 3 Mahine Ki Bhuk Hadtal Ke Baad Azad Ho Gaye Hai. Wo Thursday Ki Sham Ko West Bank Ke Al-khelil City Ke Paas Apne Gao Pahuch Gaye. Al-khik Ne Journalist Ko Bataya Ki Unki Ye Kamyaabi, Jhayoni Regime Ki Kamzori Ki Aur Ishara Karti Hai Aur Isi Tarah Ye Bhi Sabit Karti Hai Ki Security Karne Ke Setting Me Ye Regime Pagal Hua Jaa Raha Hai. Is Palestini Journalist Ne Kaha Ki Unki Jeet, Palestini Nation Ki Jeet Ki Hi Ek Chain Hai Aur Ye Nation Apne Deadlock Se Nayi Kamyaabi Hasil Karega.
Malum Rahe Ki 33 Saal Ke Muhammed Alkhik Ke 2 Bacche Hai Aur Israel Ne Unhe December Me Giraftar Karke Jail Me Daal Diya Tha. Is Daurran Un Ke Khilaf Kisi Bhi Tarah Ki Charge-Sheet Darj Nahi Ki Gayi. Unhone 3 Mahine Pehle Apni Arrest Aur Jail Officials Ke Bad Views Ke Khilaf Hunger Strike Start Ki Thi Aur Maang Ki Thi Ki Unhe Azad Kiya Jaaye. Finally: Wo Bhuke Reh Kar Gayi Is Jung Me Jeet Rahe Aur Jhayoni Regime Ne Unhe Thursday Ko Azad Kar Diya.
For Reference.
http://parstoday.com/hi/news/middle_east-i12037
Jafferynews#
No comments:
Post a Comment