Monday 6 April 2015

BREAKING NEWS….!!!! GAIR MUSLAMAN JAWAN NE MAZHAB-E-HAQ KUBUL KIYA.

US (Amrica) ke ek Jawan “Laukas Bronak” ne Pakistani naujawan se dosti ke natije mein Mazhab-e-Islam Kabul kar liya. Najaf-e-Ashraf mein hazri Is taza Shia Jawan ne haram ki Ziyarat ke baad apne ahsaas ka izhar kiya aur kahan ke mein is kadar kushi ka ahsaas kar raha hu ke bayan nahi kar sakta “Laukas Bronak” ne kahan mein amir insaaniyat wa adaalat ke samne khada hu aur inki khidmat mein arz adab kar raha hu unhone ne majid kaha jab me haram mein dakhil huwa to mera dil kaap raha tha, mere paao laraz rahe the, aur mein chal nahi paa rahan tha, lekin jab maine Ziyarat padha aur Maula ki khidmat mein arz adab kiya to itminaan aur sukun ka ahsaas huwa mein zaireen ko dekh raha tha, wo mere ateraaf mein pure itminaan ke saath ibadaat mein masruf hai, aesa ahsaas maine zindagi mein kabhi nahi paaya. For Ful News : http://www.urdu.skpak.com/index.php/news/news_view/OTAw  
JAFFERY NEWS  
Like and share www.facebook.com/jafferynews

No comments:

Post a Comment