Tuesday 28 April 2015

ISIL KI HISTORY......!!!! FULL REPORT ALL :- 07 PART

Yaha Aaj Hum ISIL Ki Jankari Aapko Bataana Chahte Hai Jisme Hum Aap Tak ISIL Ki Jhahalat Se Bhari Hui Aur Ginhoni Sachayi Batarahe Hai. Hum Kuch Main Points Aap Tak Pohachana Chahte Hai jisse Aap ISIL Kya He wo Samjh Sakein. Yeh Jankari Itni Ziyada Hai Ki Humne Is Ko Part Aur Topic  Me Tabdel Kerdiya Hai Jo hum Aapko Har Roz Ek ek Topic Aur Part Batayege. Humne isko 7 Part Aur topic me Hissa kiya hai Taaki aap Behtar Samaj Sake.

PART :-  01

 ISIL KYA HE ?


ISIL ATANKI FAUJ HAI. Yeh abhi haal ke Islam ke Khalifa banna chahte he. ISIL ke kayi naam o se pukare jana wala Dehshat gard log he. Inke dusre naamo me ISIS AUR DAESH He. Is Girho ka Aim he "Remainig & Expanding" matlab baki rehna aur felna. Inka Naara "My Nation, A Dawn Has Appearred" Matlab Mere Desh me suraj ki pehli kiran. Yeh Syria, Iraq, Lebanon, Libya aur Nigeria jese Desho me atank fela rahe hai. Inka sabse zyada Qabza Syria aur Iraq me he jisme se Mosul Shaher Iraq me inka sabse dabdabaa he. Inki Planning Programming wagera Syria ke Raqqah Shaher me se hota he. Inme Wahabi, Jehadi, Aur Kai Dharm ke log join hue he. Inki Tadat 2 lakh 57 hazaar 8 sau (2,57,800) jitni ho sakti he.

 PART:- 02

ISIL KE LEADERS KON KON HAI?


Inka Main Leader Abu Bakr Al Baghdadi hai. Deputy leader Iraq ka Abu Muslim Al Turkmani aur Syria ka leader Abu Ali Al-Anbari hai. Inki Atanki Fauj (Military) ka Leader  Abu Ayman Al-Iraqi hai.

ISIL KE LEADER KE PIC DHEK NE KE LIYE VISIT KARE.
http://jafferynews.blogspot.com/2015/04/isil-ki-history-part-02.html

 PART :-  03

 KAB AUR KESE BANAA ISIL?


1999 me Abu Musab Al Zarwai ke zariye Jamaat Al Tawhid Wa Al Jehadi Ke Naam Se Yeh Atanki Group Ki Shuruat Hona Shuru Hui. 2004 October me ye Al Qaida ke Saat mil Ke Baad 13 October 2006 ko inhone Declare kiya.  Iraq me 8 April 2013 ko inhone ye bhi declare kiya ke yeh kayi City aur States inke Under me chalte he. 3 February 2014 me ye Al Qaeda se Alag hue. 29 June 2014 me Inhone "KHILAFAT" ka Elaan kardiya. 13 November 2014 me inhone Elaan karte hue bataya ke yeh Libya, Egypt, Algeria, Saudi Arabia, Yemen, Afghanistan, aur Pakistan me bhi Maujud Hai.

 PART :-  04

 SYRIA KI JUNG :-

Syria me Jung March 2011 se shuru huwi. Abu Bakr Al Baghdadi ke under me Kayi hazaar log Syria bhag ker aaye aur bheje gaye. Ye Log apne aap ko Sunni Ekta me tabdeel kerte gaye aur fir Al Nusra ke naam se jane gaye.  Inlogo ne Syria me Behrahem Atank felaya aur Fir 2013 me Abu Bakr Al Baghdadi ne yeh Goshna ki ke Al Nusra Aur Isil ek hi he. Lekin Al Nusra aur Al Qaeda ke Leadero ne ek hone se manayi kardi. 3 February 2014 tak Al Qaeda ne Isil ke sath kisi bhi tarah ka Sambandh na rakkah. 

 PART :-  05

 ISIL NE INTERNET KE ZARIYE KESE TABAHI KI.


ISIL ne Duniya ke sath-saat Internet ki barbaadi ki. Ye achhe khaase Internet Daulat rakhte hue maloom hote he. Matlab internet per kharch karte he. Ye Aaye din Logo ke Katey hue Sir Aur behrehmi se maut ki video aur photos rakhte hai. Aur ye kayi Purni aur Dharmik website o ko Hack ker ched-chad kerte he. Inhone March 2013 me Al Furqan Media Institute se Channel banayi jiska naam Global Islamic Media Front hai. November 2014 me ISIL ne ise dusrey duniya ke kayi desho me shuru kardene ki suchna di aur iski kayi aur branches shuru ki gayi aur sabka same hi model he jesa Iraq aur Syria me hai.  2014 me inhone Al Hayat Media Centre Banaaya jisse ke western Logo ko nishana banaya gaya aur isey English, German, Russian, aur French jesi basha o me dikhaya gaya.

 PART :- 06

  ISIL KE KON KON SUPPORTERS HAI.

UN ki 2015 ki Report ke Mutaabik inme 22 Hazaar (22,000) se zyada Videshi (Foreigners)  Atanki hai jo kai sau desh se aayein Syria Aur Iraq me. Syria aur Iraq Ek Atanki school ke manind bangya hai. 2014 ke dauran Abu Bakr Al Baghdadi ne Naara diya tha ke "Musalmaano Tezi Se Aao Apne Desh Me" jo Internet par tezi se fela aur kayi log Is jhehalat me pohach gaye. Aur iske Elaava kayi sau groups aur Desh jisme Turkey jo Syria aur Iraq ke padhosi mulko me se he unki Goverment aur kai log ISIL ko Support karte he. Arab desh isey Rupiyo se Help karta he. Ab Kehna yeh bhi he ke Syrian Goverment bhi ISIL ka Support kerahi hai kyu ISIL ne Syria ke "Free Syrian Army" aur in jese kai alag alag atanki Groupo ko maar giraya hai. Abu Yusuf Jo ISIL ka Commander hai, uske August 2014 ke Bayaan ke mutabik "Free Syrian Army" ke kayi Atanki jo "USA, UAE, TURKEY" jese desho ke dwara Train kiye gye he wo ISIL me join hue he. 10 Desh jinme "Turkey, Saudi Arab, Russia, Jordan, Morocco, France, Tunisia, Lebanon, Germany, aur United Kingdom" me se aayein hue atanki sabse zyada he.

LAST PART :-  07

 ISIL KE PASS KESE AUR KON KON SE HATHIYAAR HAI


ISIL ke paas tarah tarah ke hathiyaar he jinme kuch Saddam Hussain Ke atanki istemaal kerte they aur jo US ki faujo ke khilaf istemaal hue they wahi zyadater hai. Aur baaki jo he wo yeh Samne wali Faujo ko Maar ker chin lete hai. Inke paas Goliya, Bandhuke, Hawayi Bomb, Haath gole, Missiley, kuch Air Craft, aur bhi hathiyaar maujud hai. Truck Bomb, Car Bomb, Sucide Bomber, Chemical Hathiyaar bhi hai. Aur July 2014 me Mosul University me  se Nuclear saaman bhi Chura liya. Iraq aur Iran ki Goverment ka dawa he ke ISIL ko paisa Saudi Arab aur Qatar se aata he.

SPEACIAL REQUEST :-
Aap Logo se Guzarish hai ke please aap apne Dua o me Syria Aur Iraq ke liye zarur Dua karein. Aur Ager aapko koi khabar na maloom ho toh aap usey confirm karo. Aur Isil ke khilaaf ek saath aajao. Yeh aaj waha hai kya pataa kal humare yaha ho iskeliye please apni Goverment se narmta se jese ho request kro ke Isil ke khilaaf action le. Yeh Jankari Is Link Se Li Gayi Hai.
http://en.m.wikipedia.org/wiki/Islamic_State_of_Iraq_and_the_Levant
Is Ki Edition JAFFERY NEWS Ke Zariye Ki Gayi Hai.
Special Thanks to Br. Kumail Sayyed For Helping to Collect This News & Translate this News.

JAFFERY NEWS
Like and share
www.facebook.com/jafferynews

No comments:

Post a Comment