Monday 11 May 2015

BAITUL MUQQADAS KI ZIARAT HARAAM, FATWE PAR HUNGAMA


Jordan Me Muslim Brotherhood Se Related Zabhatul Amlil Islami Naam Ke Party Ke Zariye Baitul Muqaddas Me Maujood Masjid Ul Aqsa Ki Ziyaraat Ko Haraam Bataye Jane Ke Baad Arab Aur Islamic Countries Me Is Fatwe Par Bohot Discussions Ho Rahe Hai.

Jordan Ke Waqf Minister Hayal Dawood Ne Is Fatwe Per Comment Karte Hue Kaha Hai Ki Iss Tarike Ke Fatwe Dene Wale Na Jaane Kaunse Zamaane Me Ji Rahe Hai...Israeli Log, Musalmano Ko Hathyaar Dikha Kar Masjid Ul Aqsa Ki Ziarat Se Rokte Hai Aur Ye Log Fatwa Dekar. Iss Paak Masjid Ki Ziyaraat Se Musalmano Ko. Rok Rahe Hai.

Yaad Rahe Kuch Dino Pehle Jordan Ki Zabhatul Amlil Islaami Naam Ke Party Ki Religious Matters Ki Team Ne Ek Bayaan Jaari Karke Kaha Tha Ki Masjide Aqsa Aur Baitul Muqaddas. Ki Ziarat Karna Haraam Hai Kyuki Us Per Israel Ka Kabza Hai Aur Uski Ziarat Bada Gunaah Ho Sakta Hai.

Jordan Ke Waqf Minister Ne Kaha Ke Is Tarike Ke Fatwe Ka Koi Base Nae Hota Kyuki Paigambare Islam (S.A.W.W) Ne Masjide Aqsa Ki Ziyaraat Ka Hukm Dia Hai Aur Iss Time Ki Jab Baitul Muqaddas Per Israeliyo Ka Kabzaa Hai Uski Ziyaraat Karna Kaise Mana Ho SaktaHai?

Unhone Kaha Ke Iss Tarike Ke Fatwe Islam Religion Aur Uske Principles Se Jude Hue Log Nahi De Sakte Hai. Unhone Kaha Ki Iss Tarike Ke Fatwe Israeli Yojna Ka Hissa Hai Taaki Baitul Muqaddas Me Yahudikaran Aasani Se Ho Jaaye.

Jordan Ke Waqf Minister Dr.Hayal Dawood Ne Pure World Ke Musalmano Ko Baitul. Muqaddas Ki Ziyaraat Karne Ki Request Karte Hue Kaha Hai Ki Pure World Se Yahudi Baitul Muqaddas Ki Ziyaraat Ke Liye Aate Hai Par Israeli, Musalmano Ko Masjid Ul Aqsa Ki Ziyaraat Nahi Karne De Rahe Hai Aur Ab Kuch Log Iss Tarike Ke Fatwo Ko Support KarKe Israel Ki Policy Ko Support Kar Rahe Hai.

Yaad Rahe Ki Palestine Ke Baitul Muqaddas City Me Jo Masjide Aqsa Hai Musalmano Ka Pehla Qibla Hai Yaane Islaam Ki Shuruwaat Me Musalman Isi Masjid Ki Aur Muh Karke Namaz Padha Karte The.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/74230

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment