Myanmar Me Government Officials Rohingya Musalmano Ki Hatya Aur Unhe Di Jaane Waali Taklifo Me Shaamil Hai.
American Foreign Ministry Ne Thursday Ko Congress Ko Ye Report Pesh Ki Hai Ki Myanmar Ke Rohingya Musalmano Court Se Itar Kato, Police Custody Me Katl, Rape, Molestation Aur Kai Gunaaho Ka Saamna Kar Rahe Hai. Foreign Ministry Ne Myanmar Me Human Rights Ke Relation Me Apni Report Me American Parliament Ko Bataya Ki Government Aur Defence Officer Rakhaain Aur Rohingya Ke Criminal Record Wale Logo Ke Sath Milkar Hazaro Musalmano Ko Desh Se Bahar Smuggling Kar Chuke Hai. Jiske Liye Unhe Paise Bhi Diye Jaate Hai.
Rakhain State Me Musalmano Ko Shaadi Ke Liye Permission Ki Zarurat Hoti Hai Jabki Dusre States Me Zarurat Nae Hai. Report Ke Mutabiq Rohingya Musalmano Ko Cases Me Insaaf Nahi Milta Hai.
Pichle Saal July Me Government Ne Human Rights Ko Serious Tarike Se Oppose Karne Wali Defence Force Nasaka Par Rok Laga Diya Tha Lekin Defence Officer Aur Government Officials Ko Ab Tak Kisi Tarike Ki Jaaanch Ka Saamna Nahi Karna Padha.
Report Me Bataya Gaya Hai Ki State Ke Officer Ne Ladhai Ki Wajah Se Displace Hone Wale Rohingya Aur Dusre Region Ke Musalmano Ki Apne Ghar Waapsi Ke Liye Koi Koshish Nahi Ki Balki Unki Aane Jaane Par Rok Laga Di Hai. Iske Wajah Se Hazzaro log Camps Tak Hi Reh Gaye Jabki Defence Group Ne Unke Bazaro, Rozgar Ke Tarike, Prayer Ki Jagah Aur Dusre Service par Kabza Jamane Ke Liye Unhe Camps Me Band Rakha Hai.
For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/75909
Jafferynews.com
No comments:
Post a Comment