Syria Ke Northern Kasbe Kubaani, Mahino Se Takfiri Aatankiyo Se Safe Rehne Ke Baad, Ek Baar Phir In Aatankiyo Ke Nishaane Par Hai.
Thursday Ko London Me. Located Human Right Council Syrian Observatory For Human Rights Ne Kaha Ki Kubani Par ISIL Ke Hamle Ke Baad Serious Jung Shuru Hogayi Hai. Iss Group Ke Mutabiq Jhadap Uss Waqt Shuru Hui Jab Qubani Se Turkey Jaane Wale Raste Par Bani Border Crossing Ke Nazdiq ISIL Ne CarBomb Blast Kiya.
Syrian Observatory For Human Rights Ke Director Raami AbdurRehman Ne Kaha,"Iss Kasbe Ke Centre Me Zabardast Jung Chid Gayi Hai Aur Rasto Par Lashe Padhi Hui Hai".Abhi Tak Yeh Pata Nahi Chal Saka Hai Ki Kitne Log Maarre Gaye Hai.
Pata Rahe Ki Syria Ke Qubani Qasbe Se Qurd Group Ne ISIL Ke Aatankiyo Ko 100 Din Ki Jung Ke Baad January Me Nikal Bahar Kiya Tha.
Qubani Par Taaza Hamla Aisi Haalat Me Hua Hai Ki Qurd Group Halab Province Ke Qubani Qasbe Ke Padhosi Province Rakka Ko Bachanae Ke Lie Uss Aur Gaye Hai.
For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/75887
Jafferynews.com
Jafferynews.com
No comments:
Post a Comment