Tuesday 16 June 2015

YEMEN ME MAH-E-RAMZAN ME JUNG KHATM KARNE KI APPEAL.

Yemen Par Saudi Arab Ki Aur Se Jaari Hamle ke Bich United Nations Ke General Secretary Ne Yemen Me Mah-e-Ramzan Ke Mahine Me 15 Din Ke Jung Khatm Karne Ki Appeal Ki Hai.

Yemen Ke Baare me United Nations Organization Ki Aur Se Switzerland Ke Geneva City Me Peace Talk Ke Opening Speech Me Monday Ko Baan Ki Moon Ne Kaha Ki Unhe Ummid Hai Ki Ye Hafta Ladhai Rukne Ke Saath Shuru Hoga 2 din Me Mah-e-Ramzan Shuru Hone Wala Hai. Iss Paak Mahine Ko Shaanti Aur Ibaadat Ki Kushi Ka Mahina Hona Chaiye. Unhone Kaha."Humne Human Help Pehchane Ke Liye 2 Hafte Ke Ek  Aur Sangharsh Viraam Par Zor Diya Hai." United Nations General Secretary Ne Waqt Ki Kami Ko Time Bomb Ke Lie Set Ki Gayi Time Limit Se Compare Ki. Unhone Sabhi Group Se sangharsh Viraam Ki Appeal Ki Hai.

Yaad Rahe Geneva Me Yemen Ke Sambandh Me Organised Peace Talk Me Bhaag Lene Ke Liye Ansarullah Aur Kuch Dusre Political Groups Ke Representative Par Based Zibuti Me Ruka Hua Hai, Jo Report Milne Tak Geneva Nahi Pohcha Tha. Bataya Jata Hai Ki Saudi Arab Ke Dabaav Par Jibuti, Misr Aur Ethiopia Ki Aur Se Rukavate Khadi Kie Jaane Ke Wajah Se Ye Representative Group Geneva Nahi Pohch Saka Hai. Geneva Me Initial Vyaapak Ke Start Ka Aelaan Karte Hue Yemen Ke Lie United Nations Ke Important Person Ismail Walad Sheila Ahmed Ne Baatchit Se Pehle Ek Bayaan Jaari Kiya Jisme Sabhi Political Groups Se Is Meeting Me Bina Pehle Ki Sharte, Emotions Aur Aapsi Izzat Ke Sath Hissa Lene Ki Appeal Ki.

Yeh Baatchit Aise Condition Me Organise Hui Hai Jab Yemen Par Saudi Arab ka Hamle Jaari Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/75524

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment