Sunday 26 July 2015

60% SAUDI YOUTH ISIL ME JOIN HONA CHAHTE HAI.

Aale Saud Government Ki Advisory Committee Ke Ek Members Ke Uss Bayaan Par Saudi Public Par Aakrosh Tut Padha Hai Ki Iss Desh Ke Aadhe Se Zyada Jawan ISIL Me Shaamil Hone Ke Liye Tayyar Hai.

Saudi Government Ki Advisory Committee Ke Members Khalil Abdullah Khalil Ne Ye Bayaan Diya Tha Jis Par Saturday Ko Saudi Public Me Social Sites Aur Public Groups Me Khalil Abdullah Khalil Ke Khilaaf Kanooni Karyavaahi Ki Maang Ki Aur Unke Daave Ko ISIL Ke Liye Campaign Ka Hissa Bataya.

Isi Subject Me Saudi Arab Ke Media Especially Muhammad Al-huzaif Ne Kaha Ki Al-khalil Ke Bayaan Ka Maqsad ISIL Ko Ye Message Dena Hai Ki Wo Laakho Saudiyo Ka Welcome Karne Ke Liye Tayyar Rahe. Muhammad Al-huzaif Ne Is Baat Ko Bhi Mention Kiya Ki Aale Saud Government ISIL Ka Support Karta Hai.

Dusri Aur Saudi Arab Ke Writer Abu Shallakh Allibarali Ne Aale Saud Government Ki Aur Se Aatankiyo Ko Jaari Support Par Pareshaani Jatayi Hai. Unhone Kaha Ki Al-khalil Ka Bayaan Saudi Arab Ke Jawaano Ko ISIL Me Shaamil Hone Ke liye Ek Tarike Se Open Invitation Hai.

Abu Shallakh Ne Kaha Ki Agar Saudi Jawan ISIL Me Shamil Hue To Iska reason Salfi Aur Wahabi Thinking Hogi.

Aisi Haalat Me Saudi Arabia Ko Nayi Taklifo Ka Saamna Karna Padhega.

Pata Rahe Saudi Arab, Qatar,United Arab Emirates Aur Turkey Un Desho Me Se Hai Jo America Ke Sath Mil Kar ISIL Aur Al-qaida Ko Paiso Aur Hathiyaaro Ki Madad Kar Rahe Hai Lekin Abhi Tak ISIL IN Desho Ke Liye Khatra Nahi Bana Hai.

For Reference

http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76964

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment