Monday 20 July 2015

AB CHARLI HEBDU ME NAHI PRINT HOGA PAGHMBER ISLAM KA CARTOON.

France Ki Controversial Humor Magazine Charli Hebdu Ke Editor Ne Kaha Hai Ki Ab Is Magazine Me Kabhi Bhi Paghmbere Islam Ka Cartoon Print Nahi Hoga.

Loran Soriso Ne USA Newspaper Washington Post Se Baat Karte Hue Dawa Kiya Ki Isse Pehle Paghmbere Islam Ke Jo Cartoon Publish Kiye Gaye The Unka Irada Islam Ko Criticise Karna Nahi Balki Expression Ki Azadi Ka Bachaw Karna Tha. Isse Pehle Charli Hebdu Ke Ek Cartoonist Ronald Lojir Ne Bhi Jo Loj Ke Naam Se Famous Hai, Announcement Ki Thi Ki Wo Future Me Kabhi Bhi Paghmbere Islam Ke Cehre Ka Graph Nahi Karenge.

Malum Rahe Ki France Ki Is Comic Magazine Me Paghmbere Islam (S.A.W.W) Ka Beizati Bhara Cartoon Publish Hone Ke Baadh Pure World Ke Musalmano Ne Is Magazine Ki Kadi Criticise Ki Thi.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76775

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment