Friday 17 July 2015

AFGHANISTAN JUNG ME HAR DIN KHARCH HO RAHE HAI 40 LAKH DOLLAR

Ek Naye Part Me Ye Baat Samne Aayi Hai Ki Afghanistan Me America Ki Jung Par Har Din 40 Lakh Dollar Kharch Aa Raha Hai.

Saal 2001 Me Afghanistan Par Hamla Shuru Hone Ke Baad America Ne Lagbhag 715 Arab Dollar Kharch Kiye. Saal 2015 Ke Dauraan 35 Arab Dollar Kharcha Ho Chuke Hai. Ye Report National Priyayeerz Project Naam Ke NGO Ne Di Hai Jo America Ke Federal Budget Aur Soldiers Ka Cost Ki Recording Karti Hai.

Organization Ka Kehna Hai Ki 715 Arab Dollar Me Wo Jung Ka Saara Kharch Shamil Nahi Hai Aur Zakhmi Soldiers Par Future Me Hone Wale Kharche Iss Rakam Me Shaamil Nahi Kiye Gaye Hai. Isi Tariqe Soldiers Ke Kharche Ke Liye, Kiye Gaye Karze Ka Interest Bhi Isme Nahi Joda Gaya Hai. Ek Soldier Par Saal Ka 10 Lakh Dollar Kharch Aata Hai Jo Saal 2006 Me Congress Ke Researchers Ke Andaaz Se Bohot Zyada Hai Kyuki Iss Andaaz Ke Mutabiq Ek Soldier Ki Tainaati Ka Saalana Kharch 3,90,000 Dollar Tha.

Saal 2013 Me Harward University Economist Linda Bilmz Ne Kaha Tha Ki Afghanistan Aur Iraq Ki Ladhai America Ki Sabse Kharchili Ladhai Ban Chuki Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76638

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment