Sunday 12 July 2015

CHINA KE UIGOR MUSALMANO KO ISIL KHARID RAHA HAI.


China Ke Province Sunkyang Me Rehne Wale Uigor Musalmano Ko Takfiri Aatankwadi Group Me Shaamil Karne Ke Liye Kharide Jaane Ka Parda Faash Hua Hai.

News Agency Royters Ke Mutabiq Chinese Officials Ka Kehna Hai Ki Sankyang State Ke Uigor Musalmano Ko Turkey Ki Citizenship Dekar ISIL Me Shaamil Kiya Jaa Raha Hai.

China Ke Public Defence Aur Crime Investigation Department Ke Zilla Head Tong Bishaan Ke Mutabiq South Asia Me Maujood Turkey Embassy. Uigaro Ko Turkey Ki Citizenship De Rahi Hai. Unhone Kaha Ki Turkey Language Uigor Musalman Pehle China Ke Citizens Hai. Agar Wo Log China Se Bahar Chale Gaye Hai To Unko China Wapas Aana Chaiye.

Beijing Me Foreign Media Ke Representative Ko Bolte hue Tong Bishaan Ne Kaha ki Isme Koi Shaq Nae Hai Ki Uigor China Ke Citizens Hai Lekin Unhe Turkey Ki  Citizenship De Di Gayi Hai Aur Kuala Lumpur Me Located Turkey Embassy keep Head China Ke Uigor Musalmano Ko Turkey Ki Citizenship Dene Aur Turkey Jaane Me Help Ki Hai.
Pata Rahe Ki Iss Khabar Ke Baare Me Turkey Ke Foreign Ministry Aur Kuala Lumpur Me Established Turkey Embassy Se Confirm Nahi Ho Saki Hai.

Dusri  Aur Zyada Turkish Citizens Sankyang state Ke Uigor Musalmano Ko Cultural Aur Religious Virasat Ke Wajah Se Apna Bhai Maante Hai. Khud Sankyang Ke Uigor Musalman Bhi China me No Safety Ke Reason Se Waha Se Jaane ka Tayyar Hai. Yehi Reason Hai Ki Uigor Musalman South Asia Ke State Se Turkey Me Enter Kar Rahe Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76501

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment