Sunday 19 July 2015

EID KE DIN BHI SAUDI KA ZULM RUKA NEHI EID KE MAUKE PER BHI SAUDI FIGHTER PLANES KI YEMEN PER BAMBARI.

Saudi Arab Ke Fighter Ne Eid Ki Subah Yemen Ke Alag-Alag Cities Par Bhari Bambari Ki.

Mili Information Ke Mutabik Yemen Ke Musalman Jab Eid Mana Rahe The, Tabhi Saudi Arab Ke Fighter Planes Ne Yemen Ke Sanaa Airport Ke Saath Kai Cities Par Bomb Barsaye, Jiske Wajah Se 4 Bacho Ke Saath 13 Log Maare Gaye.

Al-Masira T.V Chanel Ki Report Ke Mutabik Yemen Ke Northern Province Sadah Me Ek Ghar Par Saudi Planes Ki Taraf Se Bambari Ke Wajah Se Ek Hi Family Ke Ek Bacche Ke Saath 3 Log Maare Gaye.

Information Ke Mutabik Saudi Planes Ne Chand Raat Ko Bhi Sadah Aur Ibb City Par Bambari Ki Thi Jiske Wajah Se Badi Tadat Me Yemen Ke Bekasur Citizens Maare Gaye Aur Zakhmi Hue.

Dusri Taraf Aden Se Mili Report Ke Mutabik Saudi Government Ka Support Milte Hue Aatankwadiyo Aur Yemen Army Aur Voluntary Forces Ke Beech Serious Jhadap Jari Hai.

Yemen Army Aur Ansarullah Se Jude Voluntary Forces Ne Aden Airport Ke Aas-Pass 10 Al-Qaida Aur Takfiri Aatankwadiyo Ko Maar Giraya Hai.

Mili Information Ke Mutabik Yemen Ke Bhagode Former Prime Minister Khalid Bhah Ne Dawa Kiya Hai Ki Yemen Ki Army Aur Voluntary Forces Ke Saath Kai Dino Ki Jhadapo Ke Baad Saudi Soldiers Aur Fugitive President Mansour Hadi Ke Supports Ne Aden Airport Par Kabza Kar Liya Hai, Jabki Yemen Army Voluntary Forces Ne Is News Ka Kandan Kiya Hai.

Unka Kehna Hai Ki Aden Ke Western Region Al-tawahi Me Serious Jhadap Jari Hai Aur Aden Airport Par Yemen Army Ka Pura Control Hai.

Al-Masira T.V Chanel Ki Report Ke Mutabik Yemen Army Aur Ansarullah Movement Ke Jiyalon Ne Aden Ke Khor Mixer Region Me Saudi Government Ka Support Mila Aur Yemen Ke Fugitive Former President Mansour Hadi Ke Aatankiyo Ke Saamne Hadhta Ka Performance Karte Hue Unhe Aage Badhne Se Rok Diya Hai.

Dusri Taraf Yemen Aur Voluntary Forces Ne Kiriter Region Se Bhi Saudi Government Ka Support Mile Hue Aatankwadiyo Aur Al-Qaeda Ke Aatankwadiyo Ko Peeche Hatne Par Majbur Kar Diya Hai.

Malum Rahe Ki Government Ka Support Mile Hue Aatankwadiyo Ne Saudi Fighter Planes Ke Protection Me Sea Ke Raste Se Saikdo Vehicles Aden Pahunchaye Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76755

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment