Wednesday 22 July 2015

GOVERNMENT KI GALAT POLICIES KE WAJAH SE TURKEY AATANKWADIYO KE NISHANE PAR.

Turkey Ki Saadat Party Ke Leader Ne Kaha Hai Ki Turkey Ki Government Ki Galat Policies Ke Wajah Se Ye Desh, Aatankwadi Organization Ka Nishana Ban Raha Hai.

Mustafa Kamalak Ne Monday Ko Turkey Ke Shanli Urfa Province Ke Kasbe Suruch Me Hue Aatanki Hamle Ke Baad Capital Ankara Me Ek Bayan Jaari Kiya. Iss Bayan Me Kaha Gaya Hai Ki Galat Policies Ke Karan Syria Se Mili Turkey Ki Border, Aatankwadiyo Ke Nishane Par Hai. Unhone Kaha Ki Turkey Ke Border Wale Area Me Foreigner Detective Maujud Hai Aur Monday Ka Suicidal Hamla Intelligence Aur Security Force Ki Weakness Ko Jahir Karta Hai. Unhone Turkey Ki Government Se Border Wale Area Me Foreigner Detective Ki Activityo Par Jald Se Jald Lagam Ki Maang Ki.

Turkey Ki Saadat Party Ke Leader Mustafa Kamalak Ne Kaha Ki Turkey Me Ashanti Aur Arajakta Failane Ke Liye Monday Ko Suruch Me Aatanki Hamla Kiya Gaya Hai. Dhayan Rahe Suruch Me Hue Aatanki Hamle Me Kam Se Kam 30 Log Halak Aur 100 Se Jada Zakhmi Hue.

Turkey Ke Prime Minister Ahmed Dawood Ogul Ke Mutabik Monday Ko Hua Suicidal Hamla, ISIL Ne Karaya Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76820
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment