Tuesday 28 July 2015

ISIL KO HACK KAR RAHI HAI JORDAN KI MISS.

Jordan Ki Ek Beauty Ne Khumkhaar Aatanki Group ISIL Se Mukable Ki Than Li Hai.

Takfiri Aatankwadi Group ISIL Se Jaha Ek Taraf Western Desho Ke Youth Lagatar Jud Rahe Hai Wahi Par Jordan Ki Ek Beauty Ne Is Aatanki Group Se Mukabla Karne Ki Than Li Hai.

2010 Me Miss Jordan Khetab Jeet Chuki Lara Abdllat Ne Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ke Khilaf Jung Ke Liye Taiyari Karte Hue Announcement Ki Hai Ki Ab Hum Is Aatanki Group Ke Badte Kadam Rokne Ka Kaam Karenge. Usne Kaha Ki Hum Ye Kam Tab-Tak Karte Rahenge Jab-Tak Ye Khun-Kharaba Group Khatm Nahi Ho Jata.

Jordan Ki Ye Beauty Apne Shining Career Ko Peeche Chodkar International Counter Terrorism Organization ‘Ghost Security’ Se Jud Gayi Hai.

Mili Information Ke Mutabik Lara Abdllat Ne Ghost Security Me Ek Executive Ke Rup Me Apni Shurwat Kar Di Hai.

International Counter Terrorism Organization ‘Ghost Security’ Ka Irada ISIL Jaise Aatankwadi Group Me Badh Rahe Online Warchsv Ko Khtm Karna Hai. Ghost Security Hackers ‘Anonymous’ Se Judi Ek Organization Hai.

ISIL Clandestine Tarike Se Organization Me Bhartiya Karne, Sucididal Hamlo Ki Plan Banane Aur Khufiya Organization Ko Anjam Tak Pahunchane Ke Liye Bade Level Par Internet Ka Istemal Karta Hai. Social Media Ki Sites Par Aatankwadi Organization Me Lakho Ki Tadat Me Khate Hai. Ye Aatanki Group Facebook, Twitter Aur LinkedIn Jaisi Sites Ke Madad Se Youth Ko Gumrah Karke Apne Irade Ko Pura Karne Me Lage Hue Hai.

Website ‘Mike’ Ke Mutabik ISIL Jaise Organization Ke Roz Ke Roz Bhad Rahe Antrocious Crimes Se Lara Kafi Hurt Thi. Lara Abdllat Innhe Rokne Ki Liye Kuch Karna Chahti Thi. Issi Soch Ke Saath Lara, November 2014 Me Ghost Security Se Jhud Gayi.

January 2015 Me ISIL Daura Jordan Ke Pilot Kasasebh Ko Jinda Jalane Ki Ghatna Ne Lara Ko Andar Tak Zanjod Diya Tha.

Lara Last 7 Months Se ‘Ghost Security’ Se Judi Hai. Website Ka Dawa Hai Ki Iss Dauran Organization Ne ISIL Ki 100 Website Aur 55,000 Tweeter Accounts Ko Band Kar Diya Hai. Isske Saath Hi ISIL Ke 2 Important Web Forum Ko Bhi Band Karne Ka Dawa Kiya Gaya Hai.

Website ‘Voaktiv’ Ke Mutabik, Ghost Security Ke 70% Members Mahilaye Hai, Jinme Lara Hi Ek Muslim Member Hai. Lara Din Me 6 Se 7 Ghante Inn Aatankwadi Group Ke Online Accounts Ka Pata Lagakar Unnhe Hake Karke Band Karne Ka Kam Karti Hai.

Lara Ke Father Jordan Ke Hai Jabki Uski Mother, Turkey-Syria Ki Hai. Lara Social Media Par Kafi Active Hai. Lara Abdllat Ke Fans Ki Bhi Achi-Khasi Tadad Hai.

News Channel Al-Arbiya Ko Diye Ek Interview Me Lara Kahti Hai Ki Aatankwadi Group ISIL Ne Western Desho Me Islam Ki Image Dhumil Ki Hai Aur Me Apni Antim Saas Tak Us Se Ladungi.

Malum Rahe Ki ‘Ghost Security’ Ki Website Ka Irada Hi Yehi Hai Ki WO ISIL, Al-Qaeda, Nusra-Front, Boko-Haram Aur Asshbab Jaise Tkfiri Aatankwadi Group Ki Badh Rahi Online Maujudgi Ko Khatm Kar Sake.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77063

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment