Tuesday 14 July 2015

ISIL VOLUNTARY GROUPS IRAQ SE DARI HUI HAI.

Iraq Ke Deputy Parliament Speaker Ne Kaha Hai Ki ISIL Ki Taraf Se Spykar Camp Me Kie Gaye Maut Ke Taandav Ki Nayi Footage Ke Relay se Saabit Ho Jata Hai Takfiri Aatankwadi Voluntary Group Se Bohot Dare Hue Hai.

Monday Ko Mili Hui Report Ke Mutabiq, Iraq Ke Deputy Parliament Speaker Homam Hamudi Ka Kehna Tha Ki Maut Ki Saza Paane Wale Spykar Camp Genocide Kaand Me Shaamil Aatankwadiyo Ko Turant Phaasi Par Latkaye Jaaye.

Unhone Kaha ISIL Ki Taraf Is Genocide Ki Nayi Footage Jaari Karna Ye Batata Hai Ki Ye Aatankwadi Group Apni Tabaahi Ki Kagaar Par Hai Aur Takfiri Aatankwadi Voluntary Groups Ki Kaamyabi Se Dar Gaya Hai.

Hamudi Ka Kehna Tha Ki Aatankwadiyo Ki Soch Ke Against Iss Tarike Ki Footage Jaari Karne Se Voluntary Groups Ka Confidence Aur Badhega Taaki Aatankwadiyo Ko Unke Anjaam Tak Pohchaya Jaa Sake.

Notice Karne Ki Baat Ye Hai Ki June 2014 Me ISIL Ne Spykar Camp Par Qabza Karke Waha Training Le Rahe 1700 Cadets Ko Maut Ke Ghaat Utar Diya Tha.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76553

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment