Friday 17 July 2015

MASHALLAH SE IRAQ- FALLUZA KE KAI AREAS AATANKIYO SE AAZAD.

Iraq Ke Falluza City Ko Aazad Karane Ke Liye Jaari Operation Ke Dauraan Kai Ilaake Aazad Ho Gaye Hai.

Al Mirbid News Website Ke Mutabiq, Ambar Operation Ke Ek Source Ne Bataya Ki Security Forces,Voluntary Aur Kabaiyli Group Ne Ambar province Falluza City Ke Al-kanatir, Arreshad, Al-bukhanfar, Al-masheniya Aur Assubehat Ilaako Ko Aazad Kara Liya Hai. Iss Source Ke Mutabiq, Operation Ke Dauraan Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ke 10 Aatanki Dher Ho Gaye.

Ambar province Ke Police Sources Ne Bataya Ki Falluza Ke Western Me Located Al–hitaviyin Area Par Security Group Aur Voluntary Groups Ka Control Ho Gaya Hai.

Dusri Aur Voluntary Group Bal Asaaeb Ahlul Hak Ke Speaker Jawad Talibavi Ne Kaha Ki Iraqi Security Aur Voluntary Group Ne BG Refinery Ko Apne Ghere Me Lekar Refinery Tak Pohichne Wale Sabhi Rasto Ko Band Kar Diya Hai Jinse ISIL Ko Rasad pohoch Sakti Hai Unhone Kaha Ji BG Ke Kabilo Ke 250 Se Ziyada Member, Aazad Karaye Gaye Ilaako Ki Nigraani Me Madad Kar Rahe Hai.

Isi Bich Northern Iraq Me Takfiri Aatankiyo Ke Hamle Me 10 Security Force Maare Gaye Aur Zakhmi Hue Hai.

News Agency Burasa Ke Mutabiq, Wednesday Ko Explosive Items Se Bhare Ek Gaadi Se Aatankwadi Ne Salahuddin Province Ke BG City Ke Centre Me Us Jagah Ko Nishaana Banaya Jaha Security Force Ke Jawan Jama The. Iss Aatankwadi Hamle Ke Baad Iss Ilaake Me Ek Ne Rakhe Gaye Bomb Ko Nakaam Bananne Ki Koshish Ke Dauraan Dhamake Hue Jinme Kam Se Kam 20 Security Force Ke Jawan Maare Gaye Aur Zakhmi Hue.

Dusri Aur Eastern Iraq Ke Diyala Province Ke Mekdadiya City Ki Council Ke President Adnan Atmimi Ne Kaha Ki Voluntary Groups Ne Mekdadiya Ke Northern Gaavo Par ISIL Ke Hamlo Ko Naakam Bana Diya Hai.

Unhone Press Conference Me ,in Gaavo se Rehnewale Local Ko Bahar Nikalne Ki Aur Warn Kiya Hai Aur Iraqi Government Se Iss Area Me Nayi Human Tragedies Ko Rokne Ke Liye Kadam Uthane Ki Maang Ki.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76670

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment