Saturday 11 July 2015

MUMBAI YOUTH KI EK AWAAZ MUSALMANO PER ZULM KO ROKNE KE LIYE AUR PUBLIC KO BEDAAR KARNE KE LIYE.


International Yaum Al Quds ke mauke par Mumbai me "Resistance week" manaya ja raha hai. Isi silsile me Mumbai city aur suburbs me mukhtalif programs arrange kiye gaye hai.
Is Week Ka Pehla program Quds Committe ne Khoja Shia Jama Masjid (H.Abbas (a.s.) Street) Dongri Mumbai me "History of Middle East and oppression of Anti Resistance forces" ke topic par rakha. Aur Alhamdolila Ye Buhut Achi Tarike Se Success hua.
Is photo exhibition Me 1898 se lekar aaj tak ki tareeq ko pesh kiya gya tha. Photo exhibition ki tarteeb is tarha thi:
⏩ Jerusalem City 1900
⏩ Zionist Congress 1898
⏩ Plan of greater Israel (darya e niel se darya e furat)
⏩ Partition of Palestine
⏩ Human partition plan
⏩ Naqba massacre
⏩ War on Gaza and Lebanon
⏩ West bank wall
⏩ Revolution of Bahrain
⏩ Syria
⏩ Yemen
⏩ Iraq
⏩ Pakistan
⏩ Kuwait
Is photo exhibition me ulama ne bhi hissa liya
sare fehrist:- Maulana Sayyed Hasnain Kararvi, Maulana Zaki Hasan Noori, Maulana Roohe zafar, Maulana Sabir Reza, Maulana Hasan Ali Rajani aur Maulana Sher Mohammed Jaffri the.
Program me namaziyo ne bad Chad kar hissa liya
Maulana Syed Hasnain Kararvi, head Iranian masjid, ne program ki bahot tarif karte hue aise aur programs karne ke liye youths ko motivate kiya. Maulana Ruhe Zafar Sahab, Imame Juma Khoja Jama Masjid, ne aise exhibitions ko masjid se bahar awaam ke liye rakne par bhi zor diya.
Resistance week ke chalte Mumbai ke suburb Govandi me ek power point presentation organize kiya gaya jisme Quds Day, middle East ki brief history, creation of Israel, Israel se aaj Indians ko khatraat jaise topics pe discussion hua.
Is program me Govandi ki awaam ne Josh kharosh se hissa liya aur program ek ghante tak chala. Aur Ye Programme Bhi Alhamdolila Success Hua.
Mahe Ramzan ke Baqiya hafte me is exhibition ko Mumbai ke alag alag ilaqo me organize kiya jaega.
InshaAllah JAFFERY NEWS Team Aapko Har Programme Ki Update Dega.
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment