Monday 27 July 2015

MUSALMANO KE PASS MAUJUD QURAN AUR DUNIYA KE SABSE PURANE QURAN ME KOI FARK NAHI.

Haal Hi Me Britain Ki Birmingham University Ki Ek Library Se Holy Quran Ki Sabse Purane Copy Milne Se Dushmano Ki Taraf Se Is Afwa Ka Jhuta Hona Sabit Ho Jata Ki Is Holy Book Me Kisi Tarha Ko Ferbadal Hua Hai.

Birmingham University Ne Holy Quran Ki Sabse Purani Copy Ka Carbon Test Karaya Jisse Ye Baat Samne Aayi Ki Paghmber Islam Ke Marne Ke Lagh-Bhag 13 Saal Baadh Holy Quran Ki Is Copy Ko Taiyar Kiya Gaya Tha. Dusre Shabdo Me Jinhone Holy Quran Ki Is Copy Ka Sankalan Kiya Hai Wo Paghmber Islam Ke Sahabi Matlab Zaruri Saathi The Jo Paghmber Islam Ke Time Zinda The.

Holy Quran Ki Ye Copy Hejazi Leepi Me Likhi Gayi Hai. Is Copy Se Un Sabhi Doubts Ko Khatm Kiya Gaya Hai Jiske Andar Holy Quran Me Ferbadal Ki Baat Kahi Jati Thi. Is Copy Ne Ye Baat Saabit Kar Di Ki Holy Quran Jis Tarha Paghmber Islam Ke Kaal Me Tha Waise Hi 1400 Saal Guzarne Ke Baadh Aaj Bhi Musalmano Ke Pass Security Hai Aur Kisi Tarha Ka Koi Ferbadal Nahi Hua Hai.

Is Holy Quran Ke Pushto Ki Tartib Aur Arrangement Usi Tarha Hai Jo Aaj Ke Holy Quran Ke Pushto Ki Hai.

Birmingham University Ki Library Me Milne Wala Holy Quran Ki Copy Ek Hi Purani Copy Nahi Hai Balki 15000 Envelopes Ki Shkal Me Ek Copy Yemen University Ki Ek Library Me Maujud Hai Jisse Sanaa Ka Quran Kaha Jata Hai.

Sanaa University Ki Library Me Maujud Copy 1972 Me Pata Chala Tha. Ye Bhi Hejazi Leepi Likha Hua Hai. Us Waqt Is Copy Par German Researchers Ne Professor Gired Buvan Ke Netitv Me Research Kiya Tha Aur Isse Holy Quran Ki Sabse Purani Copy Bataya Tha.

For Reference.

http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76976

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment