Tuesday 7 July 2015

QATIF ME SUNNI AUR SHIA MUSALMANO NE MILKAR NAMAZ ADAA KI.

Saudi Arab Ke Qatif City Me Sunni Aur Shia Musalmano Ne Milkar Namaz Padhi.
Al-Aalam Tv Channel Ki Report Ke Mutabik Saudi Arab Ke East Me Located Qatif City Me Shia Aur Sunni Musalmano Ne Sunday Ko Ek saat Milkar Maghrib Aur Isha Ki Namaz Padhi.Ye Namaz Qatif Ki Ek Masjid Me Padhi Gayi Jiska Maqsad Musalmano Ke Bich Unity Ko Badhana Aur Phailaye Jaane Wale Matbhedo Ko Dur Karna Tha.
Qatif Me Maghrib Ki Namaz Padhane Wale Sunni Maulana Sheikh Farhan Asshamari Ne Kaha Ki Hamara Maqsad, Un Planing Ko Naakam Banana Hai Jinka Maqsad, Musalmano Ke Bich Difference Paida Karna Hai.
Isha Ki Namaz Ek Shia Maulana Lui Annasir Ne Padhai. Namaz Ke Baad Unhone Kaha Ki Dushman, Shia Aur Sunni Musalmano Ke Bich Differences Paida Karne Ki Koshish Me Hai Jise Hume Milkar Naakam Banana Hoga.
Pata Rahe Ki Saudi Arab Ke Qatif City Me Padhi Jaane Wali Ek sath Namaz Se Pehle Kuwait Aur Bahrain Ki Kai Masjido Me Sunni Aur Shia Musalmano Ne Milkar Namaze Padhi Jisse Islam Ke Dushman Bade Sadme Me Hai.
For Reference http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76323
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment