Monday 27 July 2015

SAUDI ARAB NE 5 DIN KE JUNG KHATM KI ANNOUNCE KI. JO HAR BAAR ANNOUNCE HOTA HAI BUT AMAL NEHI HOTA HAI.

Saudi Arab Ki Government News Agency SPA Ki Report Ke Mutabik Riyadh Ne Humanitarian Grounds Per Yemen Per Apne Attack Stop Karne Ki Announce Ki Hai. Saturday Ko Jaari Hone Wale Ek Statement Me SPA Ne Kaha Hai Ki Ye Cease-Fire Yemen Ke Located Time Ke Mutabik Sunday Ki Night 11Baje Ker 59 Minutes Per Start Hoga Aur 5 Days Tak Jari Rahega. Statement Me Kaha Gaya Hai Ki Cease-Fire, Yemen Ki Public Per Humanitarian Aur Medical Aids Pahuchne Dene Ke Liye Announce Kiya Gaya Hai. Saudi Arab Ne Isi Ke Sath Ye Threaten Bhi Di Hai Ki Wo Cease-Fire Ke Violation Ka Strong Respond Dega. Yemen Ke Ansarullah Mass Movement Ne Abhi Saudi Arab Ke Is Proposal Per Koi React Nahi Jatai Hai.

Malum Rahe Ki Ise Pehle United Nations Dwara Yemen Me Ramadan Ke Holy Month Me Humanitarian Grounds Per Lagu Kiye Gaye Cease-Fire Ka Repeated Violations Kiya Tha. Saudi Arab Ke Yemen Ke Fugitive President Mansour Hadi Ke Support Ke Bahane Is Country Per 26 March Se Brutish Air Attacks Start Kiye The Jinme United Nations Ke Mutabik Ab Tak Kam Se Kam 1693 Log Mare Ja Chuke Hai Jabki Local Sources Ka Kehna Hai Ki Saudi Arab Ke Air Attack Me Marne Walo Ki Tadat 4500 Se Ziyada Hai Jinme Badi Tadat Me Aurte Aur Bacche Shamil Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76976

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment