Friday 17 July 2015

SAUDI JAILO ME KEDIYO TAK DRONE SE PAHUNCHAYA JA RAHA HAI DRUGS.

Saudi Police Ne Ek Aise Group Ka Pata Lagaya Hai, Jo Drone Ka Use Jeddah Ki Bariman Jail Ke Kediyo Ko Drugs Pahunchne Ke Liye Kar Rahe The.

Arab News Ki Report Ke Mutabik Ek Saudi Citizen Jo Is Group Ka Master Mind Tha Aur Uske 2 Bhai Saath Uske 4 Saathiyo Ko Arrest Kiya Gaya Jin Per Drugs Ki Trafficking Ke Crime Ka Charge Kiya Gaya Hai.

Is Kam Me Use Kiye Jane Wale Drone Ko Saudi Police Ne Apne Control Me Le Liya Hai.

Jail Ke Control Tower Per Tainat Security Officials Ne Sabse Pehle 4 Bladed Wale Ek Drone Ko Jail Ki Ek Barrack Per Utarte Dekha Tha, Drone Me Charas Aur 2000 Se Ziyada Nacotic Pills Thi, Investigation Me Samne Aaya Ki 45 Cm Ka Ye Drone Jail Ke Parking Area Se Udaya Tha.

Investigators Ka Kehna Hai Ki Is Group Ke Master Mind Ka Jail Me Kediyo Ke Saath Link Tha Aur Unse Milne Hone Wali Funds Master Mind Ke Kahi Banks Account Me Deposit Karayi Jati Thi.

Lebanon Citizen Ne Investigators Ko Bataya Hai Ki Is Crime Me Use Kiye Gaye China Me Manufactured Drone Ki Price 10000 Saudi Riyal Hai Aur Is Group Ke Paas Full 11 Drone Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76665

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment