Tuesday 14 July 2015

SYRIA KE BEKASUR BAACHE KO DUNIYA IGNORE KAR RAHI HAI : MALALA.

Malala Yusufji Ne Kaha Ki Duniya, Syria Ke Baacho Ko Ignore Kar Rahi Hai.

Nobel Peace Price Se Samaanit Malala Yusufji Ne Kaha Hai Ki Duniya Ke Leader Syria Ke Baacho Ki Anedki Kar Rahe Hai. Malala Yusufji Ne Sunday Ko Apni 18th Anniversary Syria Ki Border Par Celebrate Ki Gayi.

18th Anniversary Par Malala Yusufji Ne Lebanon Beqaa Valley Me Refugees Camp Me Reh Rahi 200 Syrian Ladkiyo Ke Liye Ek School Khola. Unhone Apne Statement Me Kaha Ki Me Syria Ki Brave Aur Inspiring Ladkiyo Ke Saath Apni 18th Anniversary Celebrate Karna Respectful Feel Kar Rahi Hu.

Malala Yusufji Ka Ye School 14 Se 18 Saal Ki Ladkiyo Ke Liye Skills Aur Training Dega. Unhone Kaha Me Ye 2 Corore 80 Lakhs Baacho Ki Taraf Se Maujud Hu Jo Armed Struggle Ke Wajah Se School Nahi Ja Pa Rahe Hai.

Malala Ne Kaha Mushkil Halat Me Apni Education Continue Rakhne Ka Unka courage Aur Perseverance, Duniya Me Logo Ko Inspire Karti Hai. Malala Ne Kaha Ki Syria Ke In Baacho Ke Saath Khada Hona Hamara Farz Hai. Unhone Kaha Ki World Ke Leaders Ke Liye Mere Pass Ye Message Hai Ki Aap Syria Ki Public Khaas Kar Syrian Baacho Ki Ignore Na Kare, Asliyat Me Ye Ek Dardnak Tragedy Hai. Malum Rahe Ki Lebanon Me Lagh-Bhag 12 Lakh Panjikrut Syria Refugees Hai Jabki Unki Asli Tadat Isse Kahi Zyada Ho Sakti Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76581

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment