Monday 27 July 2015

TODAY GAIBAT-E-KUBRA IS STARTED

Dear Members

Aaj Ki Shab Gaibat-e-kubra Ki Shab Hai. Aaj Hi Ke Shab Me Gaibat-e-kubra Start Hui Thi. Aaj Ki Shab Matlab 10 Sawal 329 Hijri Ke Din Hi Gaibat-e-kubra Start Hui Thi  Aapko Batade  Gaibat-e-sugra  69 Saal Tak Chali aur Fir Gaibat-e-kubra Start Hui Jo Ab Tak Chal Rahi Hai. Jab Imame Zamana (atfs) Ka Zahoor Hoga Tab Gaibat-e-kubra Khatm Hogi.   Gaibat-e-sugra 260 Hijri se 329 Hijri Tak Chali.

Aapko Batade Gaibat-e-sugra Me Imame Zamana (atfs) Ne 4 Nayab Ko Present Kiye the. Aur Gaibat-e-sugra Me Jo 4 Nayab The Unme Se Pehla Nayab Ka naam Hai.  Uthmaan Bin Saeed  (a.r) Dusre Muhammad Bin Uthman (a.r) Tisre Husayn Bin Rawh (a.r) Aur Chothe Ali Bin Muhammad Samry (a.r) Imame Zamana Ne Sirf In 4 Nayab Ko Hi Zaahir Kiya Tha.

Aap Sub se Guzarish Hai Ki Ham Sub Ko Apni Duao Me Sabse Pehle Imame Zamana (atfs) Ke Zahoor Ke Liye dua karni Chahiye.

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment