Saturday 22 August 2015

AYATULLAH SAAFI GULPAAGANI NE KAHA KI ISLAM KE ASLI CEHRE KO DUNIYA KO BATANE KI BUHUT ZARURAT.

Duniya Ke 14 Desho Se Iran Aaye Musalman Talba Ki Mashhad Me Ayatullah Safi Gulpaagani Se Hui Mulakat Me Aapne Kaha Ki Musalman Khaas Kar Shia Student Duniya Ke Kisi Kone Me Bhi Ho Wo Islam Ke Representative Hai.

Ahlebat (A.S) News Agency Abna Ki Report Ke Mutabik Duniya Ke 14 Desho Se Iran Aaye Musalman Talba (Students) Ki Mashhad Me Ayatollah Safi Gulpaagani Se Hui Mulakat Me Aapne Kaha Ki Musalman Khaas Kar Shia Student Duniya Ke Kisi Kone Me Bhi Ho Wo Islam Ke Representative Hai.

Information Ke Mutabik US, Canada, Sweden, UK, Kenya, Tanzania, Bosnia Aur Kai Desho Ke Talba Ki Mashhad Me Aytullahil Uzma Saafi Gulpaagani Se Mulakat Hui. Is Mulakat Me Unhone Khushi Jatate Hue Kaha: Mujhe Umeed Hai Ki Aap Duniya Ke Jis Kone Me Ho Islam Ke Representative Aur Religion Ke Sevak Hai Isliye Islam Ke Asli Cehre Ko Duniya Me Pehchanwaaye.

Puri Duniya Me Shia Ke Marjae Takleed Ne Duniya Me Takfiri Group Ke Haatho Jaari Zulm Ki Taraf Ishara Karte Hue Kaha: Takfiriyo Ke Gunaho Ne Musalmano Ka Sukun Cheen Liya Hai Aur Duniya Me Musalmano Ki Badnami Ki Wajah Bani Hai Takfiriyo Ne Islam Ke Asli Cehre Ko Bigad Diya Hai Aap Log Jin Desho Me Zindagi Guzar Rahe Hai Unme Islami Naitikta Aur Character Ke Saath Islam Ke Asli Cehre Ko Pehchanwaaye.

Unhone Kaha: Musalman Jaha Bhi Ho Wo Islam Ka Pratinidhi Hai Usne Aurat Aur Aadmi Ke Beech Koi Difference Nahi Hai Aurte Islami Hijab Ke Saath Apne Religion Ko Izzat Aur Garima Ko Bata Ke Islam Ki Bulndi Ki Wajah Bane.

For Reference.
http://hi.abna24.com/service/headline/archive/2015/08/14/705736/story.html

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment