Wednesday 26 August 2015

EGYPT, 500 AURTO MUFTIYO KE APPOINTMENT KA ORDER.

Egypt Ke Sabse Bade Religious Educational Center Al-Azhar Ne Pehli Baar Religious Matter Ke Guidance Aur Promotion Ke Liye Aurto Ministers Ke Appointment Ka Faisla Kiya Hai.

World Famous Religious Center Al-Azhar Ke Secretary Dr. Abbas Suman Ka Kehna Hai Ki Pehli Baar University Ka Fatwa Aur Propoganda Department Me 500 Aurat Muftion Ko Appoint Kiya Jayega.

Suman Ka Kehna Hai Ki Ye Faisla Religious Propoganda Me Aurto Ki Hissedari Me Vridh Aur Unke Liye Kaam Ka Mauka Milne Ke Liye Kiya Gaya Hai.

Sources Ka Kehna Hai Ki Egypt Ke President Abdul Fattah CC Ke Ek Speech Ke Baad Aurat Muftion Ki Appointment Ka Faisla Liya Gaya Hai.

Ullekhniye Hai Ki January Ke Month Me CC Ne Ek Speech Ke Waqt Kaha Tha Ki Egypt Me Islam Ki Centrist Picture Ko Highlight Karne Ki Zarurat Hai, Jiske Tehet Religious Leader Ki Appointment Me Aurat Ki Hissedari Ko Bhi Sunishcit Banaya Jana Cahiye.

CC Ke Is Speech Ke Baad Al-Azhar University Ne Is Subject Par Koi Book Bhi Publish Ki Hai. In Books Me Hewaniyo Aur Takfiriyo Ke Religion Vishwas Ko Islam Ki Nazar Se Galat Sabit Kiya Gaya Hai Aur Is Tarha Ke Vishwaso Ko Islam Aur Tark Ke Khilaf Karar Diya Gaya Hai.

Abbas Suman Ne Kaha Ki University Ne Modern Technique Ke Istemal Se Logo Ke Sawalo Ke Jawab Dene Aur Fatwa Dene Ka Intezam Bhi Kiya Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/78098

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment