Wednesday 5 August 2015

ISRAELI ARMY JHUTI HAI: HUMAN RIGHTS WATCH

Human Rights Watch Ne Palestinian Citizens Abu Mariya Par Golibaari Ki Tariqe Ke Related Israeli Army Ke Bayaan Ko Jhuta Bataya Hai.

Hamare Reporter Ke Report Ki Mutabiq Human Rights Watch Ne Apni Ek Report Me Kaha Hai Ki 23 July Ko Palestinian Citizen Abu Mariya Ke Ghar Par Israeli Army Ke Hamle Aur Unke Ghar Walo Par Goliya Chalane Ke Sambandh Me Zayoni Officials Ne Jo Bayaan Diye The wo Jhut Par Based Hai.

Human Rights Watch Ki Taraf Se Pesh Ki Gayi Report Me Bataya Hai Ki Abu Mariya Ke Ghar Ke 3 Members Ka Kehna Hai Ki Zayoni Soldiers Ne Abu Mariya Ke Bacche Ko Goli Maar Kar Zakhmi Karne Ke Baad Uski Hatya Karne Ke Iraade Se Unke Seene Par Goliya Barsayi.

Human Rights Watch Ne Apni Report Me Kaha Ki Abu Mariya Aur Unke Bacche Par Israeli Army Ne Aesi Condition Me Firing Ki Ke Zayoni Soldiers Ko Unse Kisi Bhi Tarah Ka Koi Khatra Nahi Tha.

Human Rights Watch Ne Apni Report Me Mention Kiya Hai Ki Hume Milne Wali Information Aur Israeli Army Ke Taraf Se Diye Gaye Bayaan Bohot Alag Hai.

Pata Rahe Ki Zayoni Army Abu Mariya Ki Goli Maar Kar Shaheed Karne Ke Baad Diye Gaye Apne Bayaan Me Kaha Tha Ki Israeli Army Ne Apna Bachaav Karte Hue Abu Mariya Par Firing Ki Thi Jisme Unki Maut Ho Gayi .

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77314

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment