Monday 31 August 2015

KAZZAFI NE KARWAYI THI SHIA MAULANA IMAM MUSA SADR KI HATYA.:evil:

Italy Ke Ek Bade Akhbar Ne Dawa Kiya Hai Ki East Libya Dictator Muammar Gazzafi Ne Lebanon Ke Bade Shia Maulana Imam Musa Sadr Ki Hatya Ka Hukm Diya Tha.

Notice Karne Ki Baat Hai Ki Maulana Imam Musa Sadr Aur Unke Do Sathiya Ka 37 Saal Pehle Uss Waqt Kidnap Kar Liya Gaya Tha, Jab Wo Libya Ke Official Tour Pe The.

Irani Mail Ke Maulana Imam Musa Sadr Ke Baare Me Abhi Tak Yahi Mana Jaata Raha Hai Ki Kazzafi Ne Hi Unka Kidnap Karwaya Tha.

Italvi Newspaper Courier Dela Sera Ka Kehna Hai Ki Palestine Ke Fatah Protest Ki Revolutionary Committee Ke past President Abu Nidal Ne Maulana Imam Musa Sadr Aur Unke Do Saathiyo Ki Hatya Ki Thi.

Halaaki Report Me Shia Maulana Ki Aur Unke Saathiyo Ki Hatya Ki Date Ke Baare Me Koi Jaankari Nahi Di Gayi Hai.
Wikipedia Ke Mutabiq Nidal Ki 2002 Me Baghdad Ke Ek Apartment Me Goli Maarkar Hatya Kar Di Gayi.

Al Khabar Press Ke Mutabiq, Nidal Ki Libya Ke Pehle Dictator Ke Ek Hazar Protesters Ki Hatya Ki Zimmedari Saupi Gayi Thi.

Report Me Kaha Gaya Hai Ki Kidnap Ke Baad, Nidal Imam Musa Sadr Aur Unke Saathiyo Ko Tripoli Se Ek Ghante Ki Driving Ke Baad, Ek Aisi Jagah Le Gaya, Jaha Woh Kazzafi Ke Against Ki Hatya Kiya Karta Tha.

Musa Sadr Aur Unke Saathiyo Ki Hatya Ke Baad Unhe Wahi Dafna Diya Gaya. Lekin Kuch Samay Ke Baad Hatya Ke Proof Ko Barbaad Karne Ke Maqsad Se Waha Maujood Qabro Ko Hata Diya Gaya.

Hatya Ke Kuch Din Baad Libya Ki Khufiyaa Agency Ne Imam Musa Sadr Ke Aur Unke Saathiyo Ke Passport Par Stamp Lagakar Yehl Darshaane Ki Koshish Ki Wo Libya Se Italy Jaa Chuke Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/78238

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment