Friday 28 August 2015

LUCKNOW NEWS UPDATE

LUCKNOW KE BADE IMAMBARA PAR ULEMAO KA DHARNA HOGA.

India Ke Sabse Bade State Uttar Pradesh Ki Capital Lucknow Me Situated Historical Asfi Imambara Par UP Government Ki Anti-Muslim Policies Ke Khilaf Iss Desh Ke Shia Sunni Muslim Ke Ulemao Ne Protest Karne Jaa Rahe Hai.

Muslim Ki Maango Ke Prati State Government Ki Indifference Ke Khilaf Lucknow Ke Bade Imambare Par Shia Sunni Muslim Ke Organization Aur Ulemao Daura Dharna Diya Jayega.

Lucknow Se Mili Information Ke Mutabik India Ke Senior Shia Dharamguru Maulana Kalbe Jawad Ke Ghar Par Thursday Ko Hui Dharamguru Aur Different Organization Ki Meeting Me State Government Daura Muslim Ki Maango Ke Prati Indifference Ki Kadi Mazzamat Ki Gayi.

Maulana Kalbe Jawad Ne Meeting Me Kaha Ki UP Government Lagatar Muslim Ke Rights Ko Andekha Kar Raha Hai Aur Hamare Haq Maango Par Bilkul Serious Nahi Hai.

Unhone Kaha Ki Government Ke Aashasan Ke Baad Hamne Apne Movement Ko Sadagit Kar Diya Tha, Lekin Samajwadi Government Hamari Maango Ke Prati Serious Nahi Hai Aur Kisi Bhi Tarha Ki Baat-Chit Ke Liye Bhi Taiyar Nahi Dhik Rahi Hai, Isliye Ek Baar Fir Hum Apne Movement Ko Bade Satar Se Shuru Karne Jaa Rahe Hai.

Maulana Kalbe Jawad Ne Meeting Me Shamil Ulemao Ne Iss Baar Movement Ko Bade Level Par Shuru Karne Par Force Diya Hai Aur Saath Hi Puri Desh Ke Dharamguru Janta Se Contact Kar Awarness Campaign Chalayege.

Meeting Me Shamil Dharamguru Ne Kaha Ki Jald Hi Shia Sunni Aur Hindu Ke Representative Ek Joint Conference Karege Jisme Corruption Aur Muslim Par Ho Rahe Attyachar Ke Khilaf Ek-jut Hokar Awaz Uthayege.

India Me Senior Shia Dharamguru Maulana Kalbe Jawad Ne Kaha Ki Hamne State Government Se Baat-Chit Daura Muslim Especially Shia Community Ki Problems Ke Solution Ka Rasta Nikalne Ki Koshis Kiye. Lekin UP Ki Samajwadi Government Baat-Chit Ke Liye Taiyar Nahi Hai, Isliye Ab Hamne Fir Se Movement Ka Rasta Apnane Ka Tay Kiya Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/78171

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment