Wednesday 19 August 2015

SAUDI ARAB KA ZULM JAARI.

YEMEN, TAZA HAMLO ME 18 LOG HALAK, FOOD CRISIS AUR GAHRAYE.

Yemen Par Saudi Arab Ka Zulm Jaari Hai, Saudi Arab Ke Taza Hamlo Me 6 Aurte Aur 4 Baacho Ke Saath 18 Begunah Aadmi Halak Hue.

Al-masira T.V Channel Ke Mutabik, Saudi Fighter Planes Ne Monday Ko Yemen Ki Capital Sanaa Ke Northeast Me Maujud Juf Province Me Kahab Aur Sagaf City Par Kai Baar Hamla Kiya Jisme 18 Begunah Log Halak Hue.

Yemen Press Ke Mutabik, Saudi Fighter Planes Ne Monday Tadke Hudada City Par Bambari Ki. Is Hamle Me Jawano Ki Ek Organization Ki Building Ko Target Banaya Gaya. Is Baare Me Aur Detail Ka Ullekh Nahi Kiya Gaya.

Dhyan Rahe Saudi Arab, Yemen Ke Farari Former President Aabad Rabboh Mansour Hadi Ko Power Me Lautne Ke Liye, UN Ki Permission Ke Bina 26 March Se Yemen Par Atikraman Kar Raha Hai. In Hamlo Me Ab Hazaro Begunah Halak Ho Chuke Hai.

Is Beech World Health Organization Ne Yemen Ki Al-arming Public Health Ki Halat Ki Taraf Se Warn Kiya Hai.

UN Ke Spokesman Ke Reporter Helal Al-war Ne Kaha Hai Ki Yemen Me Jhadap Jari Rehne Ke Wajah Se 1 Crore 29 Lakh Yemen Me Rehne Wale Food Crisis Se Anjan Hai Jabki 60 Lakh Se Zyada Yemen Ke Logo Ko Food Crisis Ke Pareshani Ka Samna Karna Pad raha Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77806

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment