Thursday 13 August 2015

YEMEN ME HEALTH SITUATION KHARAB HO RAHA HAI.

Saudi Arab Ke Air Attacks Me Zakhmi Hone Wala Ek Yemen Citizen 9 August 2015 Ko Yemen Ki Capital Sana Me Ek Hospital Ki Burn Unit Ke Bed Par Dikhahi De Raha Hai.

Yemen Par Saudi Arab Ke Jaari Attack Ke Wajah Se Girti Health Situation Par World Health Organization Ne Serious Tension Jatayi Hai.

World Health Organization Ke Spokesman, Tariq Jasarvik Ne Tuesday Ko Swizerland Ke Geneva City Me Press Conference Me Kaha Ki Yemen Me Aam Tor Par Shakt Halat Hai. Isska Wajah Ye Hai Ki Health Sector Ke Experienced Person Violence Ke Wajah Is Desh Ko Chod Kar Jaa 4 Rahe Hai. Jisse Experienced Health Workers Ki Kami Hogayi Hai.

Tariq Jasarvik Ne Kaha Ki Yemen Me 20% Se Ziyada Health Facility Ya To Kaam Nahi Kar Rahi Hai Ya Bahut Dhire Se Kaam Kar Rahi Hai. Unhone Warn Kiya Ki Fund Ki Gambhir Rup Se Kami Ke Wajah World Health Organization, Yemen Citizens Ko Important Health Service Nahi De paa Rahe Hai. Tariq Jasarvik Ne Kaha, “Hamne Yemen Me Aatantrik Satar Par Displaced Logo Ki Health Related Zarurato Ke Liye 15 Crore 10 Lakh Dollar Ke Fund Ki Appeal Ki Thi Lekin Ab Tak Sirf 2 Crore 30 Dollar Ka Hi Fund Ho Paya Hai”.

Yemen Me Khane Ki Sankat.

Iss Beech United Nation Ne Yemen Me Khane Ki Sankat Ke Control Se Bahar Hone Ka Announce Kiya Hai.

United Nation Ki Food Official Par Special Reporter Hilal Alwar Ne Kaha Ki Yemen Me 1 Crore 30 Lakh Log, Food Ke Bina Zindgi Guzaar Rahe Hai Jinme 60 Lakh Log Gambhir Rup Se Food Insecurity Ka Sikhar Hai. Unhone Kaha Ki Agar Yemen Ke Ashant State Me Ashanti Issi Tarha Jaari Rahi To Aur Buri Situation Ho Jayegi.

Hilal Alwar Ne Kaha Ki Yemen Me Bacho Ki Halat Khas Tor Par Bahut Dangerous Hai Lag-Bhg 8.5 Lakh Bache Serious Malnourished Ka Sikhar Hai. Unhone Warn Kiya Ki Agar Halat Aisi Hi Raha Toh Baki Rahe Toh Aane Wale Dinno Ne Ye Tadat 12 Lakh Tak Pahuch Jayegi.

Yemen Ke 11 Province Aden, Lahij, Sada, Tijh, Sbuh, Baiza, Jhalea, Abyn, Marib, Aur Aljuf Me Health Service Buri Tahra Affect Hui Hai.

Dhayan Rahe Yemen Par Saudi Arab Ka 26 March Se Attack Jari Hai. Jiske Dauran Ab Tak 2000 Ke Karib Baiguhna Log Maare Ja Chuke Hai.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77607

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment