Thursday 12 May 2016

IRANIYO KE HAJ PER NA JAANE KE LIYE SAUDI ARAB ZIMEDAAR.

Foreign Ministry Ke Spokesman Ne Kaha Hai Ki Agar Irani Zayereen Hajj Per Na Ja Sake Toh Iske Liye Saudi Arab Zimedaar Hoga.

Sadiq Hussain Jabiri Ansari Ne Kaha Ki Agar Is Saal Ke Haj Ke Liye Irani Zayereen Ko Visa Dene Ke Munasibat Me Saudi Arab Se Iktelafat  Dur Na Hue Toh Irani Zayereen Ka Raasta Band Karne Ke Liye Saudi Arab Zimmedar Hoga. Unhone Kaha Hai Ki Dhuk Ki Baat Hai Ki Saudi Arab Dwara Baar Baar Ye Kahe Jaane Ke Bawajood Ki Hajj Ke Mamle Ko Iran Ke Saath Political Issues Se Effect Nahi Hone Diya Jayega, Business Firm Se Aaj Tak Usne Irani Zayereen Ko Visa Dene Ke Munasibat Me Koi Kadam Nahi Uthaya Hai.

Unhone Kaha Ki Hajj Ke Adaaegi  Aur Zayereen Ki Hifazat Ki Guarantee, Hajj Ke Maizbaan Ke Roop Me Saudi Government Ke Certain Obligations Me Shamil Hai. Unhone Kaha Ki Visa Dene Ka Kaam Karne Ke Liye Saudi Arab Ke Jitne Bhi Staff Iran Aana Chahe Iran Unhe Visa Dene Ko Taiyar Hai.

For Reference.
http://parstoday.com/hi/news/iran-i11035

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment