Tuesday 24 May 2016

SAUDI WAHABI MUFTI KA FATWA :- "RAMZAN KARIM" KEHNA GALAT AUR GUNAH HAI.

Saudi Arab Ke Ek Wahabi Mufti Aur Bade Ulemao Ki Council Ke Members Ne Kaha Hai Ki "Ramzan Karim" Kehna Jayaz Nehi Hai Aur Ramzan Ko Karim Kehne Ka Koi Mazhabi Buniyad Nehi Hai

Wahabi Mufti Saleh Bin Faujan Al-Faujan Ne Dalil Diya Hai Ki Karim Allah Ka Naam Hai, Isliye Ramzan Ko Karim  Kehna Galat Hai.

Noticable Hai Ki Wahabi Mufti Apne Ajibo Garib Aur Fasadi Fatwo Ke Liye Famous Jaane Jaate Hai. Al-Faujan Ne Kaha Ki Ramzan Karim Kehna Bid'at Hai, Isliye Aesa Kehna Gunah Hai. Halaki Is Mufti Ka Kehna Tha Ki Ramzan Mubarak, Ramzan Sharif Aur Ramzan Azim Kehne Me Koi Masla Nehi Hai, Isliye Ki Hadees Me Ramzan Ke Mahine Ko In Naamo Se Yaad Kiya Gaya Hai.

Yaad Rahe Ki Shia-Sunni Ka Manna Hai Ki Khud Ramzan Aur Azim Allah Ke Naamo Me Se Hai Aur Ye Sub Allah Ki Azmat Ko Saabit Karta Hai.

For Ramzan.
http://parstoday.com/hi/news/middle_east-i12283

#Jafferynews

No comments:

Post a Comment