Monday, 31 August 2015

PEHLI BAAR TURKEY KE PLANES NE SYRIA ME ISIL KO BANAYA NISHAANA.

Turkey Ka Kehna Hai Ki Uske Fighter Planes Ne Pehli Baar America Ke Support Wale International Alliance Ke Tahet ISIL Ke Thikaano Par Hawai Hamle Kiye Hai.

Turkey Ke Foreign Ministry Ne Ek Bayan Jaari Karke Kaha Hai Ki Uske Fighter Planes Ne Syrian Border Ne Friday Ko ISIL Ke Thikaano Par Hamle Shuru Kiye.

Bayaan Me Kaha Gaya Hai Ki Takfiri Aatankwadi Group Turkey Ki Safety Ke Liye Ek Khatra Hai.

Ye Aisi Conditions Me Hai Ki Jab, turkey Par ISIL Ko Support Aur Foreign Especial Tarike Se Western Extremists Ko Turkey Ke Raaste Syria Jaane Dene Ke Aarop Lagte Rahe Hai.

Pichle Hafte America Defence Ministry Pentagon Ne Announcement Ki Thi Ankara ISIL Ke Khilaaf Alliance Me Shaamil Hokar Jald Hi Syria Aur Iraq Me Uske Thikaano Par Blast Kar Sakta Hai.

Isse Pehle Turkey Ne Syria Border Ke Nazdiq Apne Hawai Base Se American Fighter Plane Ko Udhaane Bharne Ki Bhi Anumati Di Thi.

Turkey Ke Finance Ministry Ke Bayaan Me Kaha Gaya Hai Ki Aatankwadi Organization Ke Khilaaf Ladhai Turkey Ke Liye Ek Priority Hai.

July Me Turkey Ke City Suruch Me ISIL Ke Blast Me 32Log Maare Gaye The. Isi Ke Baad Turkey Ne Takfiri Aatankwadi Group Ke Khilaaf Campaign Shuru Ki Thi.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/78237

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment