KIRKIZISTAN KE 40 CITIZENS SYRIA ME MAARE GAYE.
Kirkizistan Ki National Security Committee Ke Head Ne Kaha Hai Ki Iss Desh Ke 40 Citizens Syria Ke Jhadpo Ke Dauraan Maare Gaye Hai. Ye Log ISIL Ke Sath Milkar Syria Government Ke Against Ladhai Kar Rahe The.
Kirkizistan Ki National security Committee Ke Head Airkin Diginebeu Ne Local TV Channel Se Baat Karte Hue Kaha Ki Mili Hui Information Ke Basis Par Abtak Kirkizistan Ke 300 Se Zyada Citizens Syria Me ISIL Me Shaamil Ho Chuke Hai. Jo Damishk Government Ke Against Ladh Rahe Hai. Unhone Kaha Ki Inme Se 40 Kirkiz Citizens, Jhadpo Ke Dauraan Maare Gaye.
Unka Kehna Tha Ki Logo Ko ISIL Me Shaamil Karne Ke Liye Chalaya Jaane Wale Network Tension Ka Topic Hai Aur Family Ko Iss Relations Me Hoshiyaar Rehna Chahiye Taaki Unke Bacche ISIL Ke Changul Me Na Phasne Paaye.
Pata Rahe Ki Central Asia Ke Kuch Desho Ke Young Generation Me Extremis Ki Aur Badhte Hue Rujhan Ke Kaaran Inn Desho Ke Official Bohot Pareshaan Hai. Ki Tajekistan Ke President Imam Ali Rehman Ne Bhi Pichle Hafte Desh Ke Kuch Citizens Ke Aatanki Groups ISIL Me Shaamil Hone Ki Ninda Karte Hue Kaha Ki In Logo Ne Iss Desh Aur Religion Je Sath Vishwaas Ghaat Kiya Hai. Unka Kehna Tha Ki Lagbhag 300 Se Ziyada Tajekistani, ISIL Me Shaamil Hai Jinme Se Lagbhag 100 Maare Ja Chuke Hai.
For reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76094
Jafferynews.com
No comments:
Post a Comment