Russia Ke Ek Senior Officials Ne Saudi Arab Ko Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ka Agla Nishana Banane Ki Aur Se Warn Kiya Hai.
Itartas News Agency Ki Wednesday Ki Report Ke Mutabik, Russia Ke National Security Deputy Yevgeny Lukyanof Ne Kaha Ki Agar Syria Par Takfiri Aatankwadi Group ISIL Ka Control Ho Toh Iss Group Ka Agla Nishana Saudi Arab Hoga.
Unhone Kaha, "Mera Maan Na Hai Ki Saudi Arab Aur Fars Ki Gadi Ke Desho Ke Saath Dusro Ko Basshar Assad Ke Liye Dua Karna Cahiye. Ye Unki Security Ke Liye Aakhri Protest Hai."
Yevgeny Lukyanof Ne Kaha Ki Agar Bsshar Assad Ki Government Giri, To ISIL Ke Agle Target Par Saudi Arab Hoga Aur Fir Fars Ki Gulf Ke Dusre Nation Target Banegnge.
Saudi Arab Ne Lagh-Bhag 5000 Aatanki ISIL Me Shamil Hue Hai. Lukyanof Ne Alert Karte Hue Kaha, "Jab Mukabla Khatam Ho Jayenga Tab Wo Kaha Jayenge Wo Apne Ghar Lautenge. Uss Samay Wo Kya Karenge? Wo Logo Ka Katal Karenge." Unhone Kaha Ki World Me Koi Bhi Desh Aatankwad Se Secured Nahi Rah Sakta.
For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/75903
Jafferynews.com
No comments:
Post a Comment