Saturday 25 July 2015

AATANKIYO KA SURRENDER..!! ZABDANI PAR CONTROL BOHOT JALD.

Syria Ke Zabdani City Par Syrian Soldiers Aur Hizbullah Ke Jiyalo Ka Control Bohot Jald Hone Ki Ummeed Hai. Zabdani City Ko Phir Se Apne Control Me Lene Ke Liye Syrian Soldiers Aur Hizbullah Ke Jiyalo Ki Comprehensive Campaign Se Ghabraaye Takfiri Aatankwadi Surrender Karne Ke Liye Tayyar Ho Gaye Hai.Takfiri Aatankwadiyo Ke Khilaaf Syrian Army Ne Nayi Progress Ki Hai.

Lebanon Ke Al Manar TV Channel Ke Mutabiq, Syrian Army Aur Hizbullah Ki Iqaaiyo Ne Zabdani Ke Western Parts Me 2 Nayi Surango Ko Puri Tarha Tabaah Kar Diya Hai  Takfiri Aatanki Zameen Ke Andar Ke Rasto Se Zabdani Me Hathyaar Aur Rasad Pohchane Ke Liye Istemal Karte The. Iss Zamin Ke Andar  Ke Rasto Ke 70 Lambi Surange Thi Jise Wednesday Ko Syrian Army Aur Hizbullah Ne Electricity Ke Speed Se Tabaah Kar Diya.

Syrian Army Aur Hizbullah Ne Zabdani Me Yeh Success Aisi Halaat Me Haasil Ki Hai Jab Iss Baat Ki Report Aa Rahi Hai Ki Kuch Aatankwadi Group Ne Apne Khilaaf Tez Hoti Naakabandi Ke Wajah Se Surrender Karne Ka Faisla Kiya.

Teen Hafte Pehle Syria Lebanon Ke Border Area Zabdani Par Control Ke Liye Campaign Shuru Hone Se Pehle Hizbullah Ne Aatankwadi Ko Surrender Karne Ke Liye Warning Di Thi.

Thursday Ko Al Aalam Ki Report Ke Mutabiq Zabdani Me Active Aatankwadi groups Me Se Ek Aatankwadi Group Ne Syrian Government Se Baatchit Ke Liye Ek Campaign Rokne Ki Appeal Ki Hai.

Zabdani Syria Ke Reef Damishk Province Ka Strategic Nazariye Se Bohot Ahem Qasba Hai. Zabdani Nusra Front Aur Ahrar Assham Jaise Aatankwadi Group Ka Gadh Samjha Jata Hai. Iss City Se Aatanki, Syria Lebanon Border Me Aana jana Aur Hathyaar Aur Rangroot Puri Karte Hai. Zabdani Capital Damishk se Zyada Dur Nahi Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76915

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment