Thursday 9 July 2015

IMAM ALI A.S KE GAM ME PURI DUNIYA DUBI

IMAM ALI IBNE ABUTALIB (ALAIHIS.SALAM) KI SHAHADAT KE MAUKE PER PURI DUNIYA EK BAAR FIR GAM ME DUBI.😔😭

Iran Ke Saat Duniya Bhar Me Shiyo Ke Pehle Imam Aur World Me Insaaf Aur Bahaduri Ke Head Imam Ali Ibne Abutalib (Alaihis.Salam) Ki Shahadat Ka Gam Manaya Ja raha Hai.

Hazrat Ali a.s Lagbhag 1400 Saal Pehle Mah-e-Ramzan Ki 21wi Tarik Ko Shaheed Ho Gaye The.

19 Ramzan Ko Ibne Muljim (l.a)  Ne Zahar Se Bhari Hui Talwar Se Us Time Imam Ali a.s Per Hamla Kiya Jab Wo Kufa Ki Masjid Me Subha Ki Namaz Ke Dauran Sajde Me The. Is Hamle Me Imam Ali a.s Ke Sir Per Gehra Zakm Pad Gaya, Jiske Wajese Do Din Baad 21 Mahe-Ramzan Ko Unki Shahadat Ho Gai.

Paighambare Islam S.A.W.S ke Jaanasheen Imam Ali a.s Ko Unki Himmat, Knowledge, Unka Insaaf Aur Paighambare Islam Se Purkhuloos Religious Feeling Ke Liye Jaana Jata Hai.

21 Mah-e-Ramazan Ki Raat Un Paak Raato Me Se Hai Jinhe Shabe Qadr Kaha Jata Hai Aur Musalman Raat Bhar Jaagkar Ibaadat Aur Azadari Karte Hai..

Har saal India Ke Sath Desh Bhar Me Karodo Musalman 21 Mah-e-Ramzan Ki Raat Bhar Jaag Kar Khuda Ki Ibaadat Ke Sath Hazrat Ali a.s Ki Shahadat Ka Gam Manate Hai Aur Azadari Karte Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76388

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment