Thursday 9 July 2015

PAKISTAN ME 21 MAH-E-RAMZAN KE JULOOS KE LIYE ZABARDAST SECURITY KI GAYI.

Ameer Al-Momeneen Imam Ali a.s Ki Shahadat Ke Purdard Mauke Par Pure Pakistan Me Tight Security Ka Intezaam Me Juloos Nikale jaa Rahe Thr.

Islamabad Se Mili Hui Report Ke Mutabiq Pakistan Ke Capital Ke Nazdiq Karachi, Lahore, Peshawar, Koeta Aur Kai Shehro Me Imam Ali a.s  Ki Yaad Me Juloos Nikale Gaye. 21 Mah-e-Ramzan Ko Nikale Jane Wale In Julooso Me Badi Tadaad Me Azaadar Hissa Liya.

Dan Newspaper Ne Likha Hai Ki Pakistan Ki Government Ne Gamgeen Azaadaro Aur Julooso Ki Security Ko Pukhta Karne Ke Motive Se hazaaro Defence Groups Ko Tainnaat Kiya Tha. Inn Julooso Ki Air Control Bhi Kiya Jaa Raha Tha. Jin Raasto Se 21 Mah-e-Ramazan Ke Juloos Guzare Waha CCTV  Cameras Lagaye Gaye The. Government Ka Kehna Hai Ki Juloos Ke Guzarne Wale Rasto Par Padhne Wali Unchi Building Par Snippers Maujood The.

Peshawar Me 3 Dino Ke Liye Motorcycle Par Double Seat Par Rok Laga Di Gayi Hai.

News Likhe Jaane Tak Kisi Buri Haadse Ki Information Nahi Mili Thi.

Pata Rahe Ki 21 Mah-e-Ramazan Ko Imam Ali  A.S Ki Shahadat Ke Gumgeen Mauke Par Pure Duniya Me Majliso Aur Julooso Ka Intezaam Kiya Jata Hai.

For Reference
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76411

. Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment