Friday 10 July 2015

INDIA AUR PAKISTAN ME IMAM ALI A.S KI SHAHADAT KE DIN PAR AZAADARI KA SILSILA

🇮🇳
India Aur Pakistan Ke Sath Aur Kai Desho Me Paighambare Islam Ke Jaanasheen Imam Ali A.s Ki Shahadat Ki Barsi Pure Religious Tarike Ke Sath Manayi Gayi
India Me Lucknow, Delhi, Mumbai, Hyderabad, srinagar Ke Sath Aur Bhi Kai Shehro Me Pichle 3 Dino Se Majliso Aur Julooso Ka Silsila Chal Raha Tha. Lucknow Aur Hyderabad Me Bohot Bade Paimaane Par Majlise Rakhi Gayi Thi.
Pakistan Me Karachi, Islamabad Aur Lahore Ke Sath Lagbhag Sab Chote Bade Shehro Me Majalise Aur Julooso Ka Silsila Hua. Har Tarike Ke Bure Haadse Ko Rokne Ke Liye Security Ke Pukhta Intezaam Kiya Gaya Tha.
21 Ramzan San 40 Hijri Ko Hazrat Ali A.s Ki Shahadat Hui Thi. Isse 2 Din Pehle 19 Ramzan Ko Subha Ki Namaz Ke Dauraan Abdul Rehman ibne Muljim (l.a) Naam Ke Malun Ne Talwar Se Waar Karke Imam Ali.A.s. Ko Buri Tarike Se Zakhmi Kar Diya Tha.
Iran Aur Iraq Ke Sath Kuch Desho Me Ramzan Ek Din Pehle Shuru Hua Tha To Imam Ali A.s Ka Shahadat Ka Din Wednesday Ko Manaaya Gaya Tha.
For Reference http://hindi.irib.ir/समाचार/item/76415
Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment