Sunday 5 July 2015

INDIA NE PHELI BAAR ISRAIL KE AGAINST VOTE NAHI DIYA.

India Ne Jhayoni Sashan Ke Samband Me Apni Policy Me Changes Karte Hue Genewa Me Uske Khilaf United Nation Ke Saath Human Rights Council Ke Ek Offer Par Hue Vote Me Bhag Nahi Liya.
Resolution Me Council Ki Ek Report Ka Welcome Kiya Gaya Tha Jisme Pichle Saal Gazza Me Hue Conflict Ke Samay Israeli Ke Against  JungGunah Ke Sabut Milne Ki Baat Kahi Gayi Hai. Resolution Me Kuch Jayoni Official Ke Against  Action Ki Bhi Kahi Gayi Hai. 41 Desho Ne Is Resolution Ke Support Me Vote Kiya Jabki USA Ne Iski Against Kiya. India Ke Alawa 4 Dusre Desho Ne Vote Me Hissa Nahi Liya.
Is Beech Indian Foreign Minister Ne Is Baat Se Inkar Kiya Hai Ki Palestin Ke Rishte Me India Plans Me Koi Change Aaya Hai. Foreign Minister Ke Spokesman Vikas Ne Kaha Ki Palestin Ke Baare Me India Ki Kafi Samay Se Chali Aa Rahi Plans Me Koi Change Nahi Hua Hai. Unhone Kaha Ki Jaha Tak Resolution Ka Sawal Hai To Isme International Criminal Court Ka Mukadma Chalane Ki Baat Hai Aur India Uss Samjote Me Shamil Nahi Tha, Jiske Andar Is Court Ka Consisted Kiya Gaya Tha.

No comments:

Post a Comment