Sunday 2 August 2015

EGYPT, MUSLIM BROTHERHOOD KE 79 MEMBERS GIRAFTAR.

Egypt Me Security Forces Ne Last 24 Hours Ke Dauran Muslim Brotherhood Ke 79 Members Aur Supporters Ko Giraftar Kiya Hai.

Egypt Ke Security Officials Ka Kehna Hai Ki Nation Ke Khilaf Ladhayi Chodne Aur Logo Ko Hinsa Par Bhadkane Ke Aarop Me Middle Level Ke 27 Members Ko Giraftar Kar Liya Hai.

Egypt Ke Alag- Alag Province Me Muslim Brotherhood Ke Aur 16 Members Ko Giraftar Kiya Gaya, Jabki Egypt Ke Ousted President Mohammed Mursi Ke 18 Supporters Ko Bhi Minya Province Me Hinsa Bhadkane Ke Aarop Me Giraftar Kar Liya Gaya Hai.

Egypt Me Banned Organization Ke 18 Members Aur Supporters Ko Coastal City Suez Me Bhi Giraftar Kiya Gaya Hai.

Thursday Ko Bhi Egypt Ki Ek Army Court Ne Anti-Government Protesters Ke Role Adaa Karne Aur Ek Police Station Par Hamla Karne Ke Aarop Me Muslim Brotherhood Ke 30 Members Aur Supporters Ko Kaid Ki Saza Sunayi Thi.

For Reference.
http://hindi.irib.ir/समाचार/item/77200

Jafferynews.com

No comments:

Post a Comment